AhnafMedia

Ahle Quran(Munkirine Hadees) aur Ahle Hadees (Munkirine Fiqa)

Rate this item
(31 votes)

Ahle Quran(Munkirine Hadees) aur Ahle Hadees (Munkirine Fiqa) Apne Aaiteraazaat Ke Aaine me:

Maujuda Ghair Muqallideen Ahle hadees ahbaab Kam Ilm Musalmaano ke Saamne Muqallideen aur Qususan Hazraat Ahnaaf Rahmaullah ke Maslak aur Unke Fiqa par Kai Aaiteraazaat ke liye yeh saabit karne ki napaak koshish karte hai ke Ahnaaf ka Maslak Galat Hai , Kisi Imaam ki Taqleed Quraan wa Hadees ke Khilaaf Hai , Isi Tarah Ek Dusraa Gumrah Firqa Ahle Quran ka hai , Jo Hadees Sharif ko Nahi Maante Hadeeso ke Upar Aaiteraazaat Karta hai , Ahle Sunnat Wal Jamaat Par In Dono ke Aaiteraazaat me Yaksaaniyat Dekhiye.

Ahle Hadees

1.Jab ALLAH Ek , Rasool Ek , Quraan Ek , Qibla Ek , Deen Ek , Toh Phir Chaar Chaar Maslak Kaha Agaye ?

2.Charo Maslak Chouthi Sadi me Wajuud me Aayi Toh Unse Pehle ke Musalmaan Kis Maslak Par amal Karte The.

3.Jab Quran aur Hadees me Deen Ki Har Choti Badi Baat Bayaan Kardi Gayi Hai Toh Phir 4 Imamo ki Taqleed Karne me aur Ulama se Puchne Ki Kya Zarurat Hai ? Quran Wa Hadees Hamare Liye Kaafi Hai.

4.Muqallideen Kehte Hai ke Charo(Hanafi , Shafii , Maliki Hambali ) Maslak Haq Hai , Halaake Charo Imamo Ki Fiqa me Kai Ikhtelaafaat Hai Toh Phir Charo Kaise Haq Par Hosakte Hai ?Haq Toh Ek Hi Hota hai , Char Char Nahi.

5.Sahaba Rdh. Aur Tabien Rh. Hanafi The Ya Shafii ?? Jab Wo Na Hanafi The Na Shafii Toh Hamare Liye Hanafi ya Shafii Wagaira Maslak Ikhtiyaar Karna Zaruri Hai ?

6.Imam Abu Hanifa aur Imam Shafii Ki Taqleed Ka Hukum Allah ne Diya Ya Rasool SAW Ne ? Jab Allah ne Ya Rasool Ullah SAW ne Uska Ka Hukum Nahi Diya Toh Taqleed Biddat Hai.

7.Agar Muqallid Taqleed Se Tauba Karke Quran aur Hadees Ko Thaam Le , Ulama aur Imamo Ke Peeche Chalne ke Bajai (Jinse Ghalti Hosakti Hai ) Quran wa Hadees Ko Khud Padhkar Amal Karle Toh Saare Ikhtelaafaat Khatam Hojayege , Kyunke Ulama ne Inko Firqo me Baat Diya Hai.

8.Ahle Hadees Huzur SAW ke Daur se Hai aur Tamaam Sahaba Rdh. Ahle Hadees Hi The , Masalan Syedut Tabiii Imam Shabi Rh. Hazraat e Sahaba Ikraam Rdh. Ko Ahle Hadees ke Paak Lafz se Yaad Farmate Hai , Isse Saabit Huva ke Ashaab e Rasool SAW Ahle Hadees The Tab Hi Toh Tabien Unhe Ahle Hadees Kehte The.

Ahle Quran

1. Jab ALLAH Ek , Rasool Ek , Quraan Ek Toh 6 6 Imamo “Bukhari , Muslim , Trimizi , Abu Dawud , Ibn Majah , Nasai “ aur Unke 6 Deen Kaha se Aagaye ?

2.Bukhari , Muslim , Tirmizi , Ibn Majah , Abu Dawud Wagaira Kitabe Rasool ki Wafaat ke 200 saal Baad Likhi Gayi Toh Unse Pehle Deen Par Kis tarah Amal Kiya Jata Tha ?

3. Allah Tala ka Irshaad e Giraami Hai “ Har Cheez Ko Humne Tafseel ke Saat Bayaan Kardiya Hai “ (Surah Bani Israel: 12 ) Jab Quran me Har Cheez ka Tazkira Allah Tala ne Khud Farmadiya Toh Pir Hadees ki Kya Zarurat ? Quran Hamare Liye Kaafi Hai Jaisa ke Hazrat Umar Rdh. Ne Bhi Farmaya Tha Ke : Allah ki Kitaab Hamare Liye Kaafi Hai .

4. Huzur Akram SAW toh Sach-che Rasool Hai aur Rasool Ki Baato me Tazaad Nahi Hosakta ke Kabhi Ek Baat Kahi aur Kabhi Ek Baat , Lekin Beshumaar Hadeeso me Aapas me Tazaad aur Muqalifat hai ke Ek Hadees me Ek Baat Hai aur Dusri Hadees me Uske Khilaaf , Toh Phir Yeh Hadees Kaise Rasool e Hadees Hosakti Hai ?

5. Sahaba Rdh. Wa Tabien Rh. Ke Zamane ke Musalmaan Bukhari , Muslim , Tirmizi Wagaira Muaddiseen ke Banaaye Huwe Hadees ke Usool aur Unki Likhi Huvi Kitaabo par hi Amal Karte The , yaha Kisi aur Kitaab par Jab Wo Hazraat Muhaddiseen ki Kitabo aur unke banaaye huwe usool ko nahi maante the , toh hum unko kyun maane ?

6. Bukhari Shareef wa Muslim Shareef ki Hadeese Sahih Hai Iski Ittela Allah ne Di hai Ya Rasool SAW ne Iski Khabar Di Hai ? Jab Allah Wa Rasool ne Unke Sahih Hone ke Bare me Koi Khabar Nahi di Toh In Kitaabo ki Hadeeso ka Saheeh Maanna Hamare Liye Kaise Jayez Hosakta Hai ?

7. Musalmaan Allah ki Kitaab Quran ko Mazbooti se Thaamle , Mufassireen wa Muhaddiseen (Jinse Ghalti Hosakti Hai Kunke Wo Ummati The Koi Nabi aur Rasool Toh Nahi The ) Ki Tehqeeq aur Unki Rai Par Chalne ke Bajai Ruhe Zameen Par Sahih Kitaab Quran e Majeed Par Amal Karne Lage Toh Saare Ikhtelaafaat Khatam Hojayege , Jaise Khud Quran me Irshaad e Rabbaani Hai “ Sab Milkar Allah ki Rassi(Quran ) ko Mazbooti se Thaam Lo aur Juda Juda Na Hojao” (Surah Al Imraan)

8. Ahle Quran Huzur e Aqdas SAW ke Zamane se Hai aur Tamaam Sahaba Rdh. Ahle Quran Hi The. Iski Daleel Yeh Hai : Tirmizi me Hadees Hai “ Aye Ahle Hadees Witr Padho , aur Tamaam Sahaba Rdh Witr Padte The aur Huzur Saw Bhi Witr Padte The Isse Maloom Huva Ke Huzur Saw aur Tamaam Sahaba Rdh. Ahle Quran The. Ibn Abbad Rdh. Farmaate The “ Apne Rehmat se Allah ne Tumko Ahle Quran Banaya (Musannaf Ibn Abi Shaiba 132/6 ) Iski Alawa Aur Be Shumaar Daleel Hai.

  • Ahle Hadees Hazraat Jaane Anjaane Me , Uni Tehriqo Me Jis Tarah Imam E Azam Abu Hanifa Rh. Aur Aap Ke Maslak Ke Khilaaf Hatta Ke Aap Ke Watan Kufa Ke Khilaaf Bhi Bad Zubaani Karte Rehte Hai Aur Aap Ke Maslak Ko Quran Wa Hadees Ke Khilaaf Ek Naya Deen Saabit Karne Ki Napaak Wa Nakaam Koshish Karne Me Lage Huve Hai. Isi Tarah Ahle Quran Bhi Imam bukhari , Imam Muslim Wa Gaira Muhaddiso Air Unki Hadees E Sharif Ki Saheeh Aur Motabar Kitabo Ko Galat Saabit Karne Aur In Azeem Muhaddiseen Se Ummat Ko Dur Karne Ki Intehai Na Paak , Ghinauni Aur Na Kaam Koshish Me Masroof Hai.
  • Zid Aur Hard Dharmi Se Door , Maslaki Ta-Assub Aur Apne Firqe Ki Andhi Taqleed Se Azaad Koi Bhi Insaaf Pasand Shaks Qubul E Haq Ki Sach-Chi Niyyat Ke Saath Mahir Aur Raasiqeen Fi Ilm Ulama E Haq Se Rujoo Hokar Usko Yaqeenan Maloom Hojayega Ke Jis Tarah Rasoolullah SAW Ki Mehfooz Wa Motabar Aur Mustanad Hadeeso Par Ahle Quraan Firqe Ke Aiteraazaat Bilkul Ghalat Aur Laghw Hai Isi Tarah Chaaro Fiqhi Masalako Qususan Ummat Me Maqbool Wa Motabar Hanafi Fiqhe Par Maujuda Ghair Muqallideen Ahle Hadees Firqe Ke Aiteraazaat Bhi Bilkul Waahi Aur Fareeb Hai .Dono Firqo Ke Aiteraazaat Khilaaf E Waqiaa Aur Kam Ilmi Ya Haq Dushmani Ki Paidaawaar Hai.
  • Allah Tala Se Dua Hai Ke In Dono Firqo Ko Aur Saari Ummat E Muslima Ko Gumraahi Se Bachaaye Aur Siraate Mustaqeem Par Chalne Ki Taufeeq Aata Farmaaye.(Ameen).
Read 14133 times

DARULIFTA

Visit: DARUL IFTA

Islahun Nisa

Visit: Islahun Nisa

Latest Items

Contact us

Markaz Ahlus Sunnah Wal Jama'h, 87 SB, Lahore Road, Sargodha.

  • Cell: +(92) 
You are here: Home Articles in Roman Urdu Ahle Quran(Munkirine Hadees) aur Ahle Hadees (Munkirine Fiqa)

By: Cogent Devs - A Design & Development Company