AhnafMedia

Ahle Sunnat aur Ahle Hadees

Rate this item
(13 votes)

Ahle Sunnat aur Ahle Hadees

Hamara Maslak : Ahle Sunnat Wal Jamaat
Hamari Dawat
: Itteba Kitab Wa Sunnat Bar Tariqa e Aslaaf E Ummat.
Hamara Nara :
Ittehaad Ummat.
Hamari Koshish :
Ahya e Tauhid Wa Sunnat Aur Khatma Shirk Wa Bidat.
Hamara Maqsad :
Isha-at Maarofaat Waazaala-E-Munkiraat.
Minjaanib :
Majlis Tahaffuz Sunnat Wa Difa E Sahaba Radiallah Tal'a Anhum Andhra Pradesh
.

Note :


Is Istehaar Ka Mukammal Ihtaram Farmaye Niche Girne Se Aur Kisi Bhi Beahterami Se Bachaye. Is Me Ayat Quraaniya Aur Ahadees Mubaraka Tehreer Hai Isko Padhye Aur Chap Kar Dusro Tak Puhucha Kar Sawab Daarain Hasil Kijiye.

Mohtaram Bradaran E Islaam ! Hum Sab Ka Aqeedah Hai Ke Farmaan E Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Raushni Me Najaat Wali Aur Jannat Me Jane Wali Jamat Sirf “Ahle Sunnat Wal Jamaat” Hai.

       Ahle Sunnat Wal Jamaat Wo Log Hain Jo Quran O Hadees Aur Sahaba Ikram Razi Allahu Anhum Ke Tareeqe Ki Itteba Karte Hain , Kitab O Sunnat Aur Sahaba Ikaram Razi Allahu Anhum Ke Khilaf Deen Me Koi Nayee Baat Paida Nahi Karte, Shirk O Bid’aat Se Bhot Bachte Hain, Sahaba O Tabaeen , Salfe Saaliheen Se Muhabbat Rakhte Hain Unki Shaan Me Gustakhi O Be Adbi Nahi Karte ,

Quran O Hadees Ke Silsile Me Baghair Ilm Ke Koi Baat Zaban Se Nahi Nikalte, Shari’at Me Apni Taraf Se Koi Baat Nahi Kehte, Quran O Hadees Aur Ijma E Ummat Se Jo Aqaid O Amaal Sabit Hain Unko Baghair Shak O Shubah Ke Tasleem Karte Hain. Ahle Sunnat Wal Jamaat Hi Deen E Islaam Ke Tarjumaan O Alam Bardaar Hain Aur Unhi Ki Koshishon Se Saari Dunya Me Islam Phaila Hai.

       Isi Tarah Ahle Hadees Un Ulama E Ikram Aur Muhaddiseen Rahimahumullah Ko Kaha Jata Hai Jin Ka Sab Se Mehboob Aur Umar Bhar Ka Mashghala Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Mubarak Hadeeson Ko Suna Yaad Karna Logon Ke Samne Bayan Karna Aur Un Se Masael Ko Nikalna Hai . Isi Tarah Jo Log Ilm E Hadees Ko Hasil Karne Ke Liye Mehnat O Mujaheda Karte Hain, Fanne Hadees Me Maharat O Kamal Hasil Kar Lete Hain Aur Hadees Shareef Ki Khidmat Me Usko Padhne Padhane Me Mashghool Rehte Hain Aise Ulama E Ikram Ko “Ahle Hadees” Kaha Jata Hai(Tafseel Ke Liye Dekhen Sharf Ashaabul Hadees , Ahle Hadees Chand Haqaiq)

Allama Ibrahim Yamani (Rah) Likhte Hain: Ahle Hadees Un Logon Ka Naam Hai Jinho Ne Ilm E Hadees Ki Taraf Poori Tawajjoh Ki, Isko Hasil Karene Ke Liye Dunya Se Yaksoo Hogaye… Yahi Log Ahle Hadees Hain Chahe Wo Kisi Bhi Maslak Ke Hon(Ar Rauzul Baasim 1/122) Ghair Muqallid Aalim Abdullah Damanwi Sahib Likhte Hain : Muhaddiseen Ki Jamat Ko Ahle Hadees Kaha Jata Hai Jis Tarah Mufassireen Ki Jamat Ko Ahlut Tafseer Kaha Jata Hai Aur Muarrikheen Ki Jamat Ko Ahlut Tareekh Kaha Jata Hai(Al Firqatul Jadeedah 9).

Isse Ye Baat Saaf Taur Par Maloom Hui Ke “Ahle Hadees” Ulama Ki Ek Jamaat E Khaas Ka Naam Hai Jo Ilm E Hadees Ke Husool Aur Uski Taleem Me Mashghool Rehti Hai. Kisi Makhsoos Firqe Ya Maslak Walon Ka Naam Nahi Hai. Inke Koi Imtiyazi Masael Nahi Hote Hain. Ahle Hadees Ko Ashaabul Hadees Aur Muhaddiseen Bhi Kaha Jata Hai. Ahle Hadees Jamaat Me Bhot Saare Muhaddiseen Mujtahid The Jaise :

Imam Abu Haneefa, Imam Malik, Imam Shafa’ii, Imam Ahmed Rahimahumullah Waghaira, Aur Beshumaar Ahle Hadees Ulama In 4 Imamo Me Se Kisi Ek Ke Muqallid The. Jaise : Allama Nawawi Shafa’ii (Rah) Allama Zail’ii Hanafi (Rah) Ibne Abdul Barr Maliki (Rah) Allama Ibne Jauzi Hambali (Rah) Allama Aini Hanafi (Rah) Allama Ibne Hajar Shafa’ii (Rah) Shaikh Abdul Qadar Jeelani Hambali (Rah) Allama Qurtubi Hambali (Rah) Allama Ibne Kaseer Shafa’ii (Rah) Allama Shah Wali Ullah Muhaddis Dehlawi Hanafi (Rah) Baaz Kitabon Me Imam Malik (Rah) Imam Shafa’ii (Rah) Aur Imam Ahmed Rah Ko Mazhab Ahle Hadees Ka Imam Kaha Gaya Hai Aur Isi Munasibat Se Unki Taqleed Karne Walon Ko Bhi Ahle Hadees Kaha Gaya Hai (Rahmatullahul Waasi’aa) Algharz Kitabon Me Jahan Bhi “Ahle Hadees’ Ka Lafz Aya Hai Use Ya To Mujtahideen Aur Muhaddiseen Muraad Hain Ya Muqallideen ( Shafa’ii, Hambali) Inke alawa Koi Chautha Shakhs Hargiz Muraad Nahi Hai.

       Magar Hindustan Me Angrezon Ki Hukumat Ke Zamane Me Yahoodiyon Aur Isaaiyon Ki Khatarnaak Saazishon Ki Wajeh Se Musalmano Me Bhot Saare Firqe Paida Hue, Jiske Natije Me Musalma Ek Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Ummat Hone Ke Bawajood Aapas Me Ek Doosre Ke Dushman Ban Gaye, Hatta Ke Unki Masaajid Bhi Alag Alag Hogayeen,

Un Naye Firqon Me Se Ek Firqa Maujooda Ghair Muqallideen Ka Bhi Hai Jo Apne Apko Ahle Hadees Kehta Hai. Inka Dawa Ye Hai Ke Wo Quran Aur Sirf Saheeh Hadeeson Ke Alawa Kisi Teesri Cheez Ko Hatta Ke Zaeef Hadeeson Ko Bhi Nahi Maante, Kisi Imam Ki Taqleed Ko Kufr O Shirk Qarar Dete Hain, Quran O Hadees Ke Maahir Ulam Se Masael Poochne Ke Bajaye Khud Tehqeeq Karne Aur Quran O Hadees Ko Khud Se Samajhne Ki Dawat Dete Hain, Baghair Ilm Ke Bahes O Mubahese Karte Hain Waghaira, In Ghair Muqallideen Ka Khayal Ye Hai Wo Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Zamane Se Hain.

Ye Log Kitabon Me Jahan Kahin Bhi Ahle Hadees Ka Lafz Dekhte Hain To Fauran Us Par Qabza Karlete Hain Aur Is Khush Fehmi Aur Nadani Me Mubtala Hojate Hain Aur Kam Ilm Musalmano Ko Bhi Yahi Samjhate Hain Ke Is Lafz Se Unki Naye Makhsoos Jamat Hi Muraad Hai. Lekin In Seedhe Saadhe Dosto Ka Ye Khayal Ilmi, Amali Aur Tareekhi Har Aetebar Se Haqeeqat Ke Khilaf Hai. Kyun Ke Islami Tareekh Ki Motabar Kitabon Me Beshumar Jaghon Par Hanafi, Shafa’ii, Maaliki, Hambali Ulama Ko Ahle Hadees Aur Imam Ahle Hadees Ke Naam Se Yaad Kiya Gaya Hai.

Lekin Kisi Bhi Kitab Ke Andar Kisi Bhi Zamane Me Na Ahliyat Ke Sath Khud Se Quran O Hadees Ko Samajhne Aur Jahalat O Kam Ilmi Ke Bawajood Shar’iat Ke Kisi Maahir Imam Ki Taqleed Na Karne Wale Ghair Muqallid Shakhs Ki Ahle Hadees Nahi Kaha Gaya. Angrez Ke Daur Se Pehle Rooye Zameen Par Maujoodah Zamane Ke Is Naye Ahle Hadees Maslak Ka Na Koi Madarsa Milta Hai Na Koi Masjid, Na Inki Koi Kitab Nazar Aati Hai Na Kisi Kitab Me In Ka Koi Tazkira Aya Hai.

Tareekh Me Tabqaat E Hanafiya, Tabqaat E Shafai’yya, Tabqaat E Maalikiya , Tabqaat E Hanabela Ke Naam Se Kitaben Milti Hain. Lekin Tabqaat E Ahle Hadees Ya Tabqaat E Salafiyaa Ke Naam Se Koi Kitab Nahi Milti. Chauthi Sadi Se Pehle Aur Baad Ke Beshumaar Muhaddiseen Ke Namao Ke Sath Hanafi, Shafa’ii, Maliki Aur Hambali Ke Alfaaz Likhe Hue Hain Lekin Kisi Muhaddis Ya Mufassir Ke Naam Ke Sath Ghair Muqallid, Muhammadi, Salafi Ya Asari Likha Hua Nahi Hai. Ghair Muqallideen Ko Aam Log Ibteda Me Wahabi Kehte The Aur Ghair Muqallid Hazraat Apne Apko Muhammadi Kehte The,

Phir Nawab Siddiq Hasan Khan Sahib Waghaira Ulama E Ghair Muqallideen Ne Mil Kar Angrezo Se Darkhast Kar Ke Apni Jamat Ke Liye “Ahle Hadees” Ka Naam Registered Karwaliya Us Waqt Se Ye Hazraat Apne Apko “Ahle Hadees ” Kehne Lagey(Mazeed Malomaat Ke Liye Dekhye Al Kalaamul Mufeed Fii Isbaatit Taqleed, Firqe Ahle Hadees Pak O Hind Ka Tehqeeqi Jayeza, Ta’aruf Ulama E Ahle Hadees)

Maujooda Jamat Ahle Hadees Ki Tareekh Ka Agar Jayeza Liya Jaye To Maloom Hota Hai Ke Is Jamaat Ne Kam Ilm Muqallideen Khusoosan Hanafiyon Ko Ghair Muqallid Banane Ke Alawa Barre Sagheer(Hind O Pak) Ke Musalmano Ke Haq Me Aj Tak Ki Tareekh Me Kahin Bhi Koi Khaas Faida Aur Khair Ka Kaam Anjaam Nahi Diya, Is Jamat Ne Apne Aaghaz Hi Se hi Dushmann e Islaam ki Saazisho ka Shikaar Hokar Ummat E Muslimah Ki Aksariyat Ahnaaf Aur Fiqh E Hanafi Ko Apna Mukhaalif Bana Liya. Imam Azam Abu Haneefa (Rah) Aur 1200 Saal Se Jaari Musalmano Me Maqbool O Motabar Fiqh Hanafi Ko Jhoote Propaganda Ke Zarye Badnaam Karna Aur Ahnaaf Ko Fiqh Hanafi Se Hata Kar Ghair Muqallid Banana Hi Is Jamat Ka Asal Maqsad , Waqt Ka Sab Se Bada Jihaad, Mehboob Mashghala Aur Azeem Mission Hai.

Maujooda Ahle Hadees Ahbaab Ne Shuru Hi Se Hanafiyo Par Jhoota Ilzam Lagaya Hai Ke Hanafi Log Quran O Hadees Ko Chord Kar Imam Abu Haneefa (Rah) Ki Har Har Baat Me Taqleed Karte Hain, Lekin Baar Baar Mutalabe Ke Bawajood Woh Log Ulama E Ahnaaf Ke Samne Aj Tak Fiqh Hanafi Ka Ek Bhi Masla Pesh Nahi Kar Sake Jo Quran Ya Saheeh Sareeh Marfoo’ Ghair Mu’ariz Hadees Ke Khilaaf Ho Aur Hanafi Maslak Me Us Par Fatwa Diya Gaya Ho.

Taqleed Ke Bare Me Ulama E Islam Aur Muhaddiseen E Ikram Ke Sunheri Aqwaal

1. Shaarih E Muslim, Muhaddis E Kabeer Allama Nawawi Shafa’ii (Rah) Farmate Hain: Quran O Hadees Ke Maahir Ulama Ne 4 Imamo Me Se Ek Hi Imam Ki Taqleed Ko Ummat Par Wajib Farmaya Hai Aur Imamula Harmain (Rah) Ne Charo Imamo Ki Taqleed Ke Wajib Hone Par Tamam Ulama Ka Ijma O Ittefaq Naqal Farmaya Hai(Rauzatut Taalibeen) Doosri Kitab Me Likhte Hain Har Shakhs Par Laazim Hai Ke Wo Koi Ek Maslak Chun Le Aur Phir Usi Ki Taqleed Kare(Bahawaala Taqleed Ki Shar’ii Haisiyat:66)

2. Tasawwuf e Kitaab Madarijus e Saleheen ke Musannif Allama Ibne Qayyim Rah Likhte Hain: Hadees Padh Kar Masael Batana Sirf Us Shakhs Ke Liye Jayaz Hai Jis Ke Paas Qaabiliyat O Salahiyat Ho, Wo Usool O Qawaid Aur Arabi Zaban Se Achi Tarah Waaqif Ho, Agar Kisi Shakhs Ke Pas Ye Salahiat Na Ho To Us Par Wahi Kaam Farz Hai Jsika Allah Ta’laa Ne Hukum Diya Hai Ke “Ahle Ilm Se Poocho Agar Tum Na Jante Ho”(A’alaamul Muwaqqi-een4/180)

3. Imam Baghawi (Rah) Farmate Hain Ke Jis Shakhs Ke Andar (Ijtehaad Ki Pancho) Sharten Maujood Na Hon Us Par Kisi Mujtahid Ki Taqleed Wajib Hai (Aqdul Jeed ,p No: 7) Shah Wali Ullah (Rah) Ka Irshad Hai: Ummat Ke Qabil E Aetemad Afraad Ne In Charo Maslakon Ki Taqleed Ke Jayez Hone Par Ittefaq Kar Liya Hai Jo Aj Tak Bhi Qayem Hai Aru Isme Jo Faidey Hain Wo Zaahir Hain(Hujjatullahul Baaligha 1/154).

Doosri Jagah Likhte Hain : Sahaba Razi Allahu Anhum Ke Zamane Se Charo Maslakon Ke Zaahir Hone Tak Musalmano Ka Yahi Tareeqa Raha Ke Unko Jo Mujtahid Mil Jata Wo Us Mujtahid Ki Taqleed Karlete Is Par Kisi Bhi Qaabil E Aetemad Aalim Ne Aeteraz Nahi Kiya, Agar In Musalmano Ka Ye Amal(Taqleed) Ghalat Hota To Us Zamane Ke Ulama Is Par Zaroor Aeteraz Karte(Eqdul Jeed ,p No: 23) Mufassir E Kabeer, Mulla Jivan (Rah) Farmate Hain: Is Baat Par Poori Ummat Ka Ittefaq Hogaya Hai Ke Itteba Sirf 4 Imamo Ki Jayaz Hai(Tafseerat E Ahmadiya)

       Muhaddis Ibne Hajar Makki Shafa’ii (Rah)   Farmate Hain: Hamare Zamane Me Ulama E Deen Ka Yahi Fatwa Hai Ke 4 Imamo(Imam Shafai, Malik, Abu Haneefa Aur Ahmed Rahimahumullah) Hi Ki Taqleed Jayaz Hai Inke Alawa Kisi Aur Imam Ki Jayaz Nahi(Fathul Mubeen Fii Sharhul Arbaieen 1/196)

       Mashhoor Faqeeh O Muhaddis Allama Syed Tahawi Hanafi (Rah) Farmate Hain: Allah Ta’ala Ki Madad Ahle Sunnat Wal Jamat Ki Muwafiqat Karne Me Hai… Aur Ye Najaat Pane Wala Firqa(Ahle Sunnat Wal Jamat) Aj Chaar Maslakon Me Jama Hogaya Hai. Aur Wo Hanafi, Maaliki, Shafa’ii, Aur Hambali Hain(Tahtawi 4/153)

       Panchwi Sadi Ke Azeem Tareen Muhaddis O Faqeeh Allama Ibne Abdul Barr (Rah) Wazeh Aur Do Tok Alfaaz Me Likhte Hain:

       “(Imamo Ke) Wo Tamam Aqwaal(Jin Me Unho Ne Apne Shagirdon Ko Taqleed Se Mana Kiya Hai Aur Jin Ko Aaj Ghair Muqallideen Zor O Shor Se Pesh Kar Rahe Hai Wo Aqwaal) Mujtahideen Ulama Ke Liye Hain( Aur Awaam Ke Mutalliq) Ulama Ka Is Baare Me Koi Ikhtelaaf Nahi Hai Ke Aam Musalmano Par Ulama Ki Taqleed Laazim Hai Aur Aayt E Shareefa   " فَاسْأَلُوا أَهْلَ الذِّكْرِ" Se Ulama Hi Muraad Hain(Jaame’ Bayan Ul Ilm 2/140)

       Maahir Quraa O Hadees Allama Ibne Jauzi (Rah) Irshad Farmate Hain: Foro’ii(Jayaz O Na Jayaz , Halaal O Haraam Ke) Masael Chaunke Naye Naye Pasha Aate Rehte Hain Aur Awaam Par Unka Pehchanna Dushwaar Hota Hai Aur Dhoka Khaana(Ghalati me padhna) Qareeb Hai Isi Liye Un Masael Me Aam Musalman Ko(Jo Mujtahid Na Ho) Taqleed Karna Behter Hai….. Iblees Ne…. Baaz Logo Ko Ye Samjha Diya Hai Ke Taqleed Par Jame Rehna Bura Hai.(Talbees E Iblees Mutarjim 108)

       Mahshoor Muarrikh E Islam Allama Ibne Khaldoon (Rah) Apne Haqeeqat Afroz Mushahade Ko Bayan Karte Hue Wazeh Alfaaz Me Likhte Hain: Tama Mulkon Me Taqleed Inhi 4 Imamo Par Mehdood Hogai Aur Inke Ilawa Doosre Maslak Ki Taqleed Karne Wale Khatm Hogaye Aur Aj Ahle Islaam Inhi 4 Imamo Ki Taqleed Par Muttafiq Hain.(Muqaddama Ibne Khaldoon 414)

       Hazrat Shah Ishaq Muhaddis Dehlawi (Rah) Sawaal No: 161/162 Ke Jawab Me Farmate Hain Charo Maslakon Ke Darmyan Jo Ikhtelaaf Hai Wo Ikhtelaaf Ya To Sahaba Razi Allahu Anhum Ke Ikhtelaaf Ki Wajeh Se Tha Aur Sahaba Razi Allahu Anhum Ke Mutalliq Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Irshad Hai: Mere Sahaba Sitaron Kitarah Hain Tum Jiski Bhi Pairwi Karoge Hidayat Paa Jaaoge… Ya Qiyas O Hujjat Ke Ikhtelaaf Se Waqai Hua Aur Qiyaas Nas Se Sabit Hai… Ya Wo Ikhtelaaf Hadees Ke Zaahiri Alfaaz Aur Istimbaat Ki Wajeh Se Hai. In Charo Maslako Ke Muqallid Ko Bid’ati Nahi Kaha Jayega Kyun Ke Charon Ki Taqleed Hadees Shareef Ke Zaahir O Baatin Ki Taqleed Hai Aur Hadees Ki Itteba Karne Wale Ko Bid’ati Kehna Gumrahi Aur Sabab E Azaab Hai(Khulaasa Miatu Masael 92-102)

       Hindustan Ke Mufti Abddur Raheem Raajpoori (Rah) Farmate Hain: Dunya Ke Har Kaam Me Taqleed Ki Zaroorat Padti Hai. Lekin Deen Ke Maamle Chand Hadees Ki Kitabon Ke Tarjume Dekh Kar Apne Ap Ko Uloom E Quran O Hadees Ka Maahir Samajhne Lagna Aur Aimma E Hudaa O Aslaaf E Ezaam Ke Sath Badgumaani Karna, Unki Shaan Me Bad Zubani Aur Gustakhi Karna Aur Unki Taqleed Ko Shirk O Bid’at Kehna Aur Apni Naaqis Fahem O Aqal Par aetemad Karna Aur Hawaye (Khahishaat) Nafsaani Ki Itteba Ko Ain Tauheed Samajhna Ye Kahan Ka Insaaf Hai… Agar Hamare Ghair Muqallideen Bhai , Hat Dharm Kath Hujjati Aur Zid Ko Chord Kar Diyanat Daari Aur Thande Dil Se Ghaur Karen To Koi Wajeh Nahi Ke Adme Taqleed Ke Aqeede Par Jame Rhain. (Fatawa Raheemiya 4/182)

Read 4661 times

DARULIFTA

Visit: DARUL IFTA

Islahun Nisa

Visit: Islahun Nisa

Latest Items

Contact us

Markaz Ahlus Sunnah Wal Jama'h, 87 SB, Lahore Road, Sargodha.

  • Cell: +(92) 
You are here: Home Articles in Roman Urdu Ahle Sunnat aur Ahle Hadees

By: Cogent Devs - A Design & Development Company