AhnafMedia

Aalame Islam Ke 4 Raushan Sitaare

Rate this item
(16 votes)

اهْدِنَا الصِّرَاطَ الْمُسْتَقِيمَصِرَاطَ الَّذِينَ أَنْعَمْتَ عَلَيْهِمْ

Hum Ko Seedha Rasta Chala Un Logo Ka Rasta Jin Par Apne In'aam Farmaya Hai(Surah. Al Fatiha)

Aalame Islam Ke 4 Raushan Sitaare

Hamara Maslak : Ahle Sunnat Wal Jamaat
Hamari Dawat
: Itteba Kitab Wa Sunnat Bar Tariqa e Aslaaf E Ummat.
Hamara Nara :
Ittehaad Ummat.
Hamari Koshish :
Ahya e Tauhid Wa Sunnat Aur Khatma Shirk Wa Bidat.
Hamara Maqsad :
Isha-at Maarofaat Wa Izaala-E-Munkiraat.
Minjaanib :
Majlis Tahaffuz Sunnat Wa Difa E Sahaba Radiallah Tal'a Anhum Andhra Pardesh.

Note :


Is Istehaar Ka Mukammal Ihtaram Farmaye Niche Girne Se Aur Kisi Bhi Beahterami Se Bachaye. Is Me Ayat Quraaniya Aur Ahadees Mubaraka Tehreer Hai Isko Padhye Aur Chap Kar Dusro Tak Puhucha Kar Sawab Daarain Hasil Kijiye.

          Mohtaram Baradaraan E Islam Allah Ta’ala Ne Huzoor Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Is Ummat Me Ibteda Hi Se Quran O Hadees Ke Beshumaar Maahir Ulama ,Fuqaha O Mujtahideen Ko Paida Farmaya , Jinho Ne Deen E Islam Ki Har Har Cheez Ki Tashreeh O Tehqeeq Kar Ke Deen Ko Mehfooz Farmadiya,Aur Deen E Islam Ko Guzashta Deeno Ki Tarah Jaahilo Aur Ulama E Soo’ Ki Hath Ka Khilona Banne Se Mehfooz Rakha .

In Beshumaar Fuqaha O Mujtahideen Me Allah Ta’ala Ne Char Imamo (Imam Abu Haneefa, Imam Malik , Imam Shafai, Imam Ahmed Rah.Imahumullah) Ko Ummat E Muslima Ke Andar Be Inteha Maqbooliyat Ata Farmai Hatta Ke In Hazraat Ki Zindagi Me Bhi Aur Khusoosan Chauthi Sadi Se Lekar Sathwi Sadi Tak Ummat Ki Aksariyat Aur Athwi Sadi Se Lekar Chadhwi Sadi Tak Poori Ummat Quran O Hadees Ke Ahkaam Par Amal Ke Silsile Me In Charo Me Se Kisi Ek Ko Apna Rehbar O Rehnuma Tasleem Karti Aarah.E Hai. Ummat Ke In Charo Musallama O Muttfaqa Imamo Ki Mukhtasar Seerat Pesh E Khidmat Hai.

Imam E Azam Abu Haneefa (Rah.Matullahi Alaih) : Ap Rah.. Hazrat Omer Farooq Razi Allahu Anhu Ke Abaad Kiye Hue Shahar Koofa Me 80 Hijri Me Paida Hue. Ap Rah. Ka Asal Naam Noman Aur Walid Ka Naam Sabit Hai. Hazrat Sabit Rah. Aur Unki Aulaad Ke Haq Me Hazrat Ali Razi Allahu Anhu Ne Barkat Ki Dua Farmai Thi. Imam Abu Haneefa Rah. Ko Aksar Ulama Ne Tabaeen Me Shumar Kiya Hai. [Al Bidaya Wan Nihaya 10/527] Imam Sahib Rah. Ke Watan Shahar Koofa Me 1500 Sahaba Ikraam Razi Allahu Anhum Tashreef Laye The.(Kitab Al Asmaa Wal Kuni 1/174)

Hazrat Ali Aur Ibne Masood Razi Allahu Anhuma Jaise Jaleelul Qadr Sahaba Koofa Me Kaiyi Saal Qiyam Farmaya[Siyar E Sahaba 7/600] Jiski Badaolat Ye Shahar Makke Mukarrama Aur Madine Tayyaba Ki Tarah. Quran O Hadees Ke Uloom Ka Itna Bada Markaz Ban Chukka Tha Ke Imam Bukhari Rah. Ne Ilm Ehadees Ke Liye Beshumaar Martaba Koofa Ka Safar Farmaya. [Hadi Us Saari 663]

Saheeh Bukhari Aur Saheeh Muslim Ke Sainkdo Muhaddiseen Koofa Hi Ke Bashinde The. Imam Abu Haneefa Rah. Ne Koofa , Makkah, Madina Waghair Ke Taqreeban 4000 Ulama O Muhaddiseen Se Quran O Hadees Ki Taleem Hasil Farmayi Jin Me Sab Se Mashhoor Hazrat Hamma Rah. Hain, Hammad Rah. Ke Ustaad Ibrah.Im Nakhee Rah. Hain, Unke Ustaad Hazrat Alqama Rah. Hai Aur Unke Ustad Hazrat Abdullah Bin Masood Razi Allahu Anhu , Hazrat Umar Farooq Razi Allahu Anhu Jaise Azeem Sahaba Ikraam Hain.

Allah Ta’la Ne Imam Abu Haneefa Rah. Ko Taqwa O Taharat, Zakawat O Zahanat Ke Sath Quran O Ahaadis E Mubaraka Ka Aisa Zabardast Ilm Ata Farmaya Ke Bade Bade Muhaddiseen Ap Ki Azmat O Ilmi Shaan Ka Aaiteraaf Karte Nazar Aate Hain. Imam Bukhari O Muslim Aur Sainkdo Muhaddiseen Ke Ustaad Yahya Bin Qattan Rah. Farmate Hain Ke:”Hum Khuda Ke Samne Jhoot Nahi Bol Sakte, Waqai Baat Ye Hai Ke Abu Haneefa Rah. Se Behter Fiqh Humne Kisi Ki Nahi Suni Isliye Unke Aksar Aqwaal Humne Ikhtiyar Kiye Han.[Manaqib Zahbi 19]”.

Imam Bukhari Ke Azeem Ustaad Makki Bin Ibrahim Rah. Farmate Hain Ke:”Imam Abu Haneefa Apne Zamane Ke Sab Se Bade Aalim The.”[Manaib Zahbi 19]

Imam Ahlul Hadees Hazrat Wakee’, Imam Abu Haneefa Rah. Ke Qaul Ke Mutabiq Fatwa Dete The, Abu Haneefa Rah. Ki Tamam Hadeesen Wakee’ Rah. Ko Yaad Thi Aur Unho Ne Imam Sahib Se Bhot Saari Hadeesen Suni Thi.[Jame Bayanul Ilm 2/183]

Ilm E Hadees Ke Sutoon Yahya Bin Moin Rah. Farmate Hain:” Imam Abu Haneefa Rah. Hadees Aur Fiqh Me Qabil Bharosa Aur Sache The, Allah Ta’la Ke Deen Ke Bare Me Qaabil E Aetemad The.”[Khairaatul Hisaan: 350 ]

Imamul Muhaddiseen Hazrat Abdullah Bin Mubarak Rah. Farmate The:

“Imam Abu Haneefa Rah. Haafiz, Fiqh, Ilm E Hadees, Parhezgari Aur Taqwa Me Sab Se Aage The”[Manaqib Imam Azam 1/229]

Ye Naqabile Inkaar Haqeeqat Hai Ke Imam Abu Haneefa Rah. Ne Kayee Kitaben Tehreer Farmayi Jin Se Bade Bade Muhaddiseen O Ulama Bhot Lambe Zamane Tak Istefada Karte Rahe.[Tafseel Ke Liye Dekhye Aimma Arba Safha 86].

Masael Ko Hal Karne Me Imam Abu Haneefa Rah. Ka Tareekha Ye Tha Ke Ap Rah. Ke Samne Jab Koi Masla Pesh Hota To Ap Rah. Sab Se Pehle Kitabullah Me Uska Hukum Talash Farmaate ,

Agar Usme Na Mila To Ahaadis E Rasool Me Nazar Karte, Agar Ahaadis Me Bhi Na Mila To Sahaba Ikraam Razi Allahuanhum Ke Aqwaal O Fatwon Ko Dekhte Aur Usi Ke Mutabiq Jawab Dete Agar Sahaba Ke Darmyiaan Ikhtelaf Ho To Abdullah Bin Masood Ke Qaul Ko Ziyada Pasand Farmate The[Rehmatullahil Wassiaa : Duwwam] Agar Sahaba Ke Aqwaal Me Bhi Jawabna Milta To Phir Quran Hadees Ki Raushni Me Qiyas Farmaate The[Aimma Arba 54]

Ap Rah. Farmaya Karte The Ke Agar Mera Koi Qaul Quran , Hadees E Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ya Sahabi Razi Allahu Anhu Ke Qaul Ke Khilaf Nazar Aaye To Meri Baat Ko Chordo.[Aqdul Jeed 53].

(Alhamdulillah Ulama E Ahnaf Ap Rah. Ki Is Naseehat Par Poora Amal Kar Rahe Hain, Agar Kisi Masle Me Saheeh Hadees Na Milti Sirf Zaeef Hadees Hi Hoti To Ap Rah. Qiyas Se Kaam Lene Ke Bajaye Usi Zaeef Hadees Par Amal Farmate The Jiski Kayee Misaalen Ibne Qayyim Rah. Ne Apni Kitab Al Aa’iaamul Muwwaqi-Een Jild Awwal Me Naqal Farmai Hain. Kis Qadar Afsos Ki Baat Hai Ke Aaj Baaz Log Is Azeem Imam Aur Ummat Ke Be Misaal Faqeeh O Muhaddis Ko Badnaam Karne Ki Koshish Karte Hue Ap Rah. Ke Khilaf Jhoota Propaganda Kar Rahe Hain Ke Ap Rah. Ko Sirf 17 Hadeesen Yaad Thi Ya Ap Quran Ohadees Ko Chorkar Qiyaas Se Masael Batate The (Naoozu Billah)

        Imam E Azam Ke 2 Azeem Shagird , Muhaddis O Faqeeh Imam Abu Yousuf Rah. Aur Imam Muhammad Rah. Ne Ap Rah. Ki Fiqh Ko Kayee Kitabon Me Jama Farma Diya , Fiqh Hanafi Ka Madaar Inhi Mustanad O Motabar Kitabon Par Hai. Isse Ye Maloom Hua Ke Jin Motasib Ya Kam Ilm Afraad Ne Ye Baat Likhi Hai Ke Fiqh Hanafi Ki Imam Abu Haneefa Rah.

Tak Koi Sanad Nahi Hai Wo Ya To Jahalat Ka Shikaar Hain Ya Jaan Boojh Kar Awaam Ko Dhoka De Rah.E Hain. Sadiyon Se Ummat E Muslima Ki Aksariyat Isi Fiqh Ke Mutabiq Amal Karti Arah.I Hain Aur Aj Bhi Aksar Mulkon Me Ahle Islam Ki Sab Se Ziada Tadad Fiqh Hanafi Par Amal Paira Hai.

Imam Malik Rah.: Hazrat Imam Malik Rah. Muqaddas Tareen Shahar , Markaz E Islaam Madina Munawwara Ke Rehna Wale Aur Apne/ Daur Me Muhaddiseen Ke Imam The. 96 Hijri Me Ap Rah. Ki Wiladat E Ba Sa’adat Hui . Muwtta Malik, Aprah. Ki Riwayaat Ka Motabar Tareen Majmua Hai Jis Me Jagah Jagah Apke Maslak Ko Bhi Wazeh Kiya Gaya Hai.

Ap Rah. Ki Buzrugi Aur Ilmi Maqaam Ka Ye Alam Tha Ke Hukoomat E Waqt Ki Taraf Se Ye Aelan Kardiya Gaya Tha Ke Musalmano Ko Imam Malik Rah. Aur Ibne Abi Zi’b Rah. Ke Ilawa Koi Teesra Shaqs Fatwa Na De, Imam Malik Rah. Khud Farmate Hain Ke Jab Tak 70 Ulama E   Waqt Ne Shahadat Na Dedi Ke Mai Fatwa Se Salta Hun Us Waqt Tak Maine Fatwa Nahi Diya.

[Tazkiratul Huffaz Bahawala Aimma Arba 109,117]

Fatwa Dete Waqt Ap Sab Se Pehle Kitabullah Ki Dekhte Uske Baad Hadees E Rasool Me Ghaur O Fikr Farmate, Hazrat Umar , Ibne Umar Razi Allahu Anhuma,

Madina Ke Sahaba Ikram Ke Fatwe Aur Ahle Madina Ka Amal Ap Rah. Ke Nazdeek Behad Ahmiyat Ka Hamil Aur Hujjat O Daleel E Sharii Ki Haisiyat Rakhta Tha, Aur Ap Rah. Quran O Hadees Ke Baad Inhi Ke Mutabiq Fatwa Dete The, Agar Kisi Masle Ka Jawab Kitab O Sunnat Aur Mazkoora Cheezo Me Na Milta To Ijtehad Kar Ke Qiyas Se Jawab Diya Karte The.

[Zameema Ilm Usool E Fiqh 46]

Hazrat Imam Malik Rah. Masjid E Nabawi Me Roza E Jannat Me Dars E Hadees Kiya Karte The. Ap Rah. Ke Dars Me Misr, Maraqash , Spain, Iraq ,   Yemen , Aur Sham Waghaira Door Daraz Ilaaqo Se Talib E Ilm Aakar Shareek Hote, Unhin Shagirdo Ke Zariye Apka Mazhab Un Mulko Tak Pohancha. Maraqash Ke Mawali Misr Aur Africa Ke Musalman Aj Kal Maliki Mazhab Ke Muqallid Aur Pairo Kaar Hain.

Imam Shafa’ii Rah .: Imam Muhammad Bin Idrees Shafa’ii Rah. Makktul Mukarrama Ke Bashinde , Azeem Tareen Muhaddis O Faqeeh Aur Ummat Ke Qabil E Ehtram Muqtada The. Apka Talluq Quraish Khandan Se Tha , Ap Rah. Ke Dada Shafa’e Sighaar E Sahaba Me Shumar Kiye Jate Hain. Imam Shfa’ii Rah. Ko Allah Ta’ala Bachpan Hi Se Zahanat O Zalawat , Fahem O Faqahat Aur Sa’aadat O Sharafat Se Nawaza Tha. Ap Rah. Ne Sirf 7 Saal Ki Umar Me Quran Paak Is Tarah.

Yaad Kar Liya Tha Ke Uran Majeed Ke Tamam Maani O Tafasir Ap Rah. Par Wazeh Hogaye The Aur Sirf 10 Saal Ki Umar Me 10 Dino Me Pooro Muwatta Zabaani Yaad Karli Thi. Apne Daur Ke Mashhoor Ulama Ke Ilawa Ap Rah. Ne Madina Munawwara Me Imam Malik Se Ilm E Hadees Hasil Kiya Is Ke Baad Baghdad Jakar Imam Abu Haneefa Rah. Ke Shagird E Khaas Imam Muhammad Bin Hasan Rah. Se Ilm E Fiqh Ki Takmeel Farmayi. Ap Rah. In Dono Imamo Ke Bhot Ziada Ahsan Mand The Aur In Dono Ki Behad Tareef Farmate The.(Aimma Arba S 148)

Quran O Hadees Ke Sath Arabi Zaban Ke Shaer O Adab Aur Arab Ke Waqiaat Me Bji Ap Rah. Ko Kamaal Hasil Tha. Ap Rah. Ke Ustaad Mihtaram Muhammad Bin Hasan Rah. Kisi Aalim Ki Itni Tazeem Nahi Farmate The Jitni Imam Shafai Rah. Ki Karte The. Ap Rah. Ke Shagird E Rasheed Imam Ahmed Bin Hambal Rah. Farmate The: Imam Shafai Rah. Logon Me Sab Se Ziada Quran O Hadees Ke Ma’aani Ko Janne Wale Hai.(Albidaya Wan Nihaya)

Ap Rah. Rozana Raat Me Ek Quran Padhte The Aur Ramazanul Mubarak Me Rozana Din Raat Me 2 Quran Khatm Karte The.(Aimma Arba 175)

Ap Rah. Ke Maslak Ki Bunyad Quran, Hadees,Ijma E Ummat Aur Qiyas Par Hai(Aimma Arba 162) Fiqh Hanafi Ke Baad Ahle Sunnat Musalmano Ki Aksaryat Isi Fiqh Ki Paband Hai.[Siyar E Sahaba 9/303]

Imam Ahmed Rah.: Hazrat Imam Ahmed Bin Hambal Rah. Wo Chauthe Imam Hain Jinko Poori Ummat “Imam Ahle Sunnat Wal Jamat” Ke Laqab Se Yaad Karti Hai Aur Sadyon Se Ummat Ka Ek Bada Tabqa Ap Rah. Ki Taqleed Karta Aarah.A Hai. Bachpan Hi Me Ap Rah. Ki Sharafat , Nek Nafsi Aur Buzrugi Ki Shohrat Ho Chuki Thi Aur Bade Bade Log Bhi Ap Rah. Ki Husn E Seerat Aur Aala Akhlaaq Par Tajjub Karte The.(Aimma Arba 188)

16 Saal Ki Umar Me Ap Rah. Ne Hadees Shareef Ki Taleem Shuru Farmai. Ilme Hadees Me Ap Rah. Ke Sab Se Pehle Ustaad Imam Abu Haneefa Rah. Ke Sab Se Bade Shagerd , Azeem Muhaddis O Faqeeh Imam Abu Yusuf Rah. Hai.(Manaqib Imam Ahmed Li Ibne Joozi S 20 Bahawala Aimma Arba 190)

Imam Ahmed Hadees Me Imam E Waqt The, Bade Zahid O Aabid The , Aamdani Ki Tangi Ke Bawajood Saqii The(Tareekhg Dawat O Azeemat 1/196) Ap Rah. Ne Ek Martaba Raat Ki Nafil Namazo Me Ek Quran Khatm Farmaya. Abu Dawood Rah. Farmate Hai:

Imam Ahmed Rah. Ki Majlisen Akhirat Ke Yaad Ki Majlisen Hoti Thi Apki Majlis Me Kabhi Dunya Ka Tazkira Nahi Hota Tha.(Al Bidayah 10/779)

Imam Ahmed Rah. Ke Asaateza Bhi Unki Bhot Tazeem Karte Aur Unke Taqwe Ki Tareef Karte The. Ap Rah. Ke Bhot Mehboob Ustaad Imam Shafai Rah. Farmaya Karte The Ke: Mai Baghdad Se Is Haal Me Nikla Hun Ke Wahan Ahmed Bin Hambal Se Bada Na Koi Muttaqi Hai Na Koi Faqeeh.(Tareekh E Dawat O Azeemat 1/189)

Imam Ahmed Bin Hambal Rah. Ke Samne Jab Koi Naya Masla Pesh Hota To To Ap Rah. Sab Se Pehle Kitab O Sunnat Ki Taraf Mutawajjah Hote, Agar Koi Masla Quran O Hadees Me Na Milta To Sahaba Ikram Razi Allahu Anhum Ke Ijmai Qaul Ke Mutabiq Fatwa Dete Aur Sahaba Ikram Ke Qaul Ke Khilaf Kisi Ki Rai Ko Khatir Me Na Late, Agar Sahaba Ke Darmyan Is Masle Me Ikhtelaf Hota To Jis Sahabi Ka Qaul Quran O Hadees Ke Qareeb Hota Usko Ikhtyar Farmate Aur Sahaba Ikram Ko Chord Kar Apni Ya Kisi Aur Ki Raye Se Kuch Na Kehte, Agar Sahaba Ikram Ka Qaul Bhi Na Milta To Zaeef Hadees Par Amal Farmate Phir Kisi Masle Me Zaeef Hadees Bhi Na Hoti To Ap Rah. Qiyas Se Masla Ka Hukum Bayan Farmate The.(Aalamul Muwaqqi-een 1/25)

Imam Ahmed Rah. Ye Bhi Farmaya Karte The Ke Jab Bhi Mujh Se Koi Aisa Masla Daryaft Kiya Gaya Jisme Mujhe Koi Hadees Na Mili To Maine Imam Shafai Rah. Ke Qaul Ke Mutabiq Fatwa Dedya(Siyarus Sahaba 9/327)

        Peeran E Peer Shaikh Abdul Qadar Jeelani Rah. , Allama Jauzi, Allama Zahbi Rah. Jaise Azeem Tareen Ulama Aur Muhaddiseen E Waqt Apki Taqleed Ko Apne Liye Raah E Najaat Tasawwur Karte The. Maujooda Saudi Hukumat Ke Rooh E Rawan , Shaikhul Islam Muhammad Bin Abdul Wahab Rah. Bhi Imam Ahmed Rah. Ke Muqallid The.

Ahle Hadees(Ghair Muqallid) Aalim Ismail Salafi Sahib Gujranwali Likhte Hain Ke Najd Ke Ek Mashoor Alim Ka Naam Muhammad Bin Abdul Wahab Tha Unho Ne Najd Aur Qurb O Jawar Ke Ilaqo Me Waaz O Naseehat Ke Zarye Islaah E Haal Ki Koshish Ki, Logon Ko Shirk , Qabar Parasti, Bid’aat Aur Ghalat Rusoom Se Roka… Darasal Wo Log Hambali Hain Aur Fiqh Me Imam Ahmed Ko Peshwa Mante Hain Jis Tarah. Hamare Mulk Me Aam Log Hanafi Hain Najd Me Aksar Log Hambali Kehlate Hain.(Fatawa 16).

Mashoor Ghair Muqallid Aalim Maulana Ibrahim Siyaal Kothi Sahib Tehreer Farmate Hain: Shaikh Muhammad Bin Abdul Wahab Hambali Mazhab Ke Muqallid The, Chunanche Ye Baat Unke Apne Khutbe Se Zaahir Hai Jo Unho Ne Haram Mohtaram Me Har Chaar Mazhab Ke Naami(Mashoor) Ulama Ke Samne Bayan Kiya.[Tareekh E Ahle Hadees 143]

Read 3540 times

DARULIFTA

Visit: DARUL IFTA

Islahun Nisa

Visit: Islahun Nisa

Latest Items

Contact us

Markaz Ahlus Sunnah Wal Jama'h, 87 SB, Lahore Road, Sargodha.

  • Cell: +(92) 
You are here: Home Articles in Roman Urdu Aalame Islam Ke 4 Raushan Sitaare

By: Cogent Devs - A Design & Development Company