AhnafMedia

Ghair Muqallideen Ahle Hadees Bhaiyo ki Quraan aur Saheeh Hadees se Mukhalifat aur Zaeef Hadeeso par Amal.

Rate this item
(59 votes)

Allah ke Nazdeek Bahut Naraazgi ka Sabab hai yeh cheez ke tum wo baat kaho jo nahi karte ho.(Sureh Saaf)

Ghair Muqallideen Ahle Hadees Bhaiyo ki Quraan aur Saheeh Hadees se Muqaalifat aur Zaeef Hadeeso par Amal.

Minjaanib : Majlis Tahaffuz Sunnat Wa Difa E Sahaba Radiallah Tal'a Anhum Andhra Pardesh.

Hamara Maslak : Ahle Sunnat Wal Jamaat
Hamari Dawat
: Itteba Kitab Wa Sunnat

Hamara Nara : Ittehaad Ummat.
Hamari Koshish :
Ahya e Tauhid Wa Sunnat Aur Khatma Shirk Wa Bidat.
Hamara Maqsad :
Isha-at Maarofaat Wa Izaala-E-Munkiraat.


Note :


Is Istehaar Ka Mukammal Ihtaram Farmaye Niche Girne Se Aur Kisi Bhi Beahterami Se Bachaye. Is Me Ayat Quraaniya Aur Ahadees Mubaraka Tehreer Hai Isko Padhye Aur Chap Kar Dusro Tak Puhucha Kar Sawab Daarain Hasil Kijiye.

Mohtaram Baraadaraane Islaam ! Maujuda Daur Ke Ghair Muqallideen Bhai ( Jo Apne Aap Ko Bade Fakhar Se Ahle Hadees Kehte Hai) Dawa Toh Yeh Karte Hai Ke Wo Har Saheeh Hadees Par Amal Karte Hai Aur Zaeef Ahadees Ko Nahi Maante Isi Ke Saat Hanafiyo Ko Zaeef Hadeeso Par Amal Ka Tana Dete Rehte Hai.Lekin Jab Unka Haqiqi Chehra Dekha Jaata Hai Toh Maloom Hota Hai Ke Wo Quraan Aur Kai Saheeh Hadeeso Ki Muqaalifat Karte Hai Aur Bahut Saari Zaeef Hadeeso Par Amal Karte Hai.Namune Ke Taur Par Chand Hadeese Zikr Ki Jaati Hai.

1.Quran Majeed Me Allah Talaa Wajeh Hukum Hai Ke “ Jab Koi Mard Apni Biwi Ko Teesri Talaq De De Toh Wo Aurat Us Mard Ke Liye Halaal Nahi Hai , Yaha Tak Ke Wo Aurat Kisi Dusre Mard Se Nikah Karle.(Al Baqarah:230 ).Isko Halala Kaha Jaata hai aur Ahnaaf Bhi Yahi Kehte Hai. Lekin Maujuda Ghair Muqallideen Hazraat , Fiqa Hanafi Ke Kitaab Wa Sunnat Ke Mutabiq Is Masle ka Mazaaq Udaate Hai.(Dekhiye : Ghair Muqallideen Ki Kitabein : Halale Ki Churi Wagaira).

2.Huzur Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Farmaan Hai:Jab Imaam Quraan Padhe(Yaani Sureh Fatiha Aur Dusra Surah Padhe) Toh Tum Khamosh Raho.(Saheeh Muslim: Hadees 404).Is Saheeh Tareen Hadees Ke Khilaaf Ghair Muqallideen Ahle Hadees Imam Ke Qirat Ke Waqt Khamosh Rehne Ke Bajai Quraan Padhte Hai

3.Huzur E Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Irshaad Hai : Us Shaks Ki Namaz Nahi Jo Sureh Fatiha Aur Uske Saat Dusra Surah Na Padhe.(Saheeh Muslim Hadees :394 ).

Is Saheeh Hadees Ke Bar-Qilaaf Ghair Muqallideen Imam Ke Peeche Sirf Sureh Fatiha Padhkar Khamosh Baith Jaate Hai Aur Dusra Surah Nahi Padhte , Lehaza Dusra Surah Padhe Be-Ghair In Hazraat Ki Namaz Kaise Qubool Hogi .?

4.Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ruku Me Jaate Waqt Aur Se Sar Utaate Waqt , Sajde Me Jaate Waqt Aur Sajdo Se Sar Utaate Waqt Dusri Aur Chouthi Rakaat Ke Liye Khade Hote Waqt Bhi Rafedain Karte The.(Apne Dono Haat Utathe The).(Nasai: Hadees 1087 ).

Lekin Hindustaani Ahle Hadees Is Saheeh Hadees Par Amal Karte Huve Sajdo Me Jaate Waqt Aur Utte Waqt Aur Dusri Aur Chouthi Rakaat Ke Liye Khade Ote Waqt Aur At-Tahiyaat Ke Liye Baitte Waqt Har Chiz Rafe-Dain Nahi Karte Gooya Ke Inhone Ne Is Saheeh Hadees Ki Muqalifat Ki Qasm Khaali Hai.

5.Hazrat Alqama Rh.Farmate Hai Ke Jaleel Ul Qadar Sahabi E Rasool Hazrat Abdullah Bin Masood Radhi Allah Anhu Ne Namaz Padhi Aur Sirf Ek Martaba (Takbeer E Tahrima Ke Waqt) Haat Uthayee(Trimizi Hadees: 257)

Alama Naasir Uddin Albaani Likhte Hai:Bilaashuba Yeh Hadees Bilkul Saheeh Hai Aur Jo Log Is Hadees Ko Zaeef Kehte Hai Unki Baat Be-Daleel Hai.(Mishkaat Ma-Aa Tehqeequl Albaani 254/1).

Ahle Hadees Hazraat Ek Namaz Bhi Is Saheeh Hadees Ke Mutabiq Nahi Padhte Balke Is Saheeh Hadees Par Amal Karne Ke Bajaye Is Ko Zaeef Hadees Saabit Karne Ki Sar Tord Koshish Karte Hai.

6.Nabi E Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Irshaad E Mubarak Hai : Jo Shaks Imam Ke Peeche Namaz Padhe Toh Imam Ki Qirat Muqtadi Ki Qirat Hai.(Muwatta Imam Muhammed : Safa : 94 , Musannaf Ibn Abi Shaiba: 377/1 , Musanad E Ahmed Bin Manii: 339/3 )

Is Saheeh Tareen Hadees Ke Bar Qilaaf Firqa E Ghair Muqallideen Ahle Hadees Ke Log Imam Ki Qirat Muqtadiyo Ke Liye Kaafi Nahi Maante.

7.Bukhari Shareef Ki Hadees” Us Shaks Ki Namaz Nahi Jo Surah Fatiha Na Padhe” Ka Matlab Bayaan Karte Huve Sahabi E Rasool Hazrat Jabir Bin Abdullah Rdh. Farmaate Hai: Magar Yeh Ke Wo Imam Ke Peeche Namaz Padh Raha Ho(Tirmizi 71/1 , Muwatta Imaam Malik: 66) Ghair Muqallideen Ahbaab Sahabi Rdh. Ki Tashrii Ko Qubool Karne Ke Bajai Imam Bukhari Rh. Ke Tarjumatul Baab Ko Zyada Tarjii Dete Hai.

8.Allah Ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Tahajjud Me Kabhi 10 Rakaat (Bukhari: Hadees 1170) , Kabhi 12 Rakaat ( Bukhari Hadees : 996) Aur Kabhi 14 Rakaat Bhi Padha Karte The.(Kitaab Al Zaud : 145 )

In Saheeh Hadeeso Ke Bar-Qilaaf Firqa Ahle Hadees Ke Afraad Jo Tahajjud Aur Taraveh Ko Ek Hi Namaz Kehte Hai , Saal Par Hatta Ke Ramzaan Ke Mubarak Mahine Me Bhi Taraveh Sirf 8 Rakaat hi Padhte Hai , aur 8 se Zyada Padhne Walo ko Biddati aur 20 Rakaat Taraveh Ko Biddat E Umri Kehte Hai.(Nauzbillah).

9.Hazrat Aisha Siddiqua Rdh. Bayaan Farmaati Hai Ke Nabi E Karim Sallallahu Alaihi Wasallam 3 Rakaat Witr Padhte The.(Saheeh Bukhari: Hadees 1147) Aur Witr Me 2 Rakaat Ke Baad Salaam Nahi Phairte The.(Sunan Nasai:Hadees 1700 , Mustadrak Haakim) In Saheeh Tareen Hadeeso Ke Bar Khilaaf Ghair Muqallideen Ek Rakaat Witr Padhte Hai Aur Agar Kabhi 3 Padhte Toh 2 Rakaat Ke Baad Salaam Phair Dete Hai.

10.Hazrat Anas Rdh Farmaate Hai Ke Huzur E Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Dua E Qunoot Ruku Se Pehle Padhte The.(Saheeh Bukhari:Hadees 1002) Bukhari Shareef Ki Is Saheeh Hadees Ke Khilaaf Ghair Muqallideen Ahbaab Ruku Ke Baad Dua E Qunoot Padhte Hai.

11.Hazrat Wayl Bin Hujr Rdh. Bayaan Farmaate Hai Ke Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Namaaz Me(Surah Fatiha Ke Baad) Aahista Ameen Kahi(Mustadrak Hakim: 181/2: Hadees : 2948 ), Imam Haakim Rh. aur Alama Zehbi Rh.Farmaate Hai Ke yeh Hadees Bukhari Wa Muslim Ki Shart Ke Mutaabiq Bilkul Saheeh Hai.

Is Saheeh Tareen Hadees Ke Barqilaaf Ghair Muqallideen Ahle Hadees Mard aur Khwateen Cheekh Kar Ameen Kehte Hai Halaake Unki Tarah Cheekh Kar Ameen Kehna Kisi Saheeh Hadees Se Sabit Nahi Hai.

12.Hazrat Umar Farooq Rdh. Gawaahi Dete hai ke Ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Irshaad Hai Ke Fajr Ki Namaaz Ke Baad Suraj Nikalne Tak Koi Namaaz Padhne Se Manaa Farmaaya.(Saheeh Bukhari : 581).

Hazrat Abu Hurairah Rdh. Se Rivayat Hai Ke Rasool Ullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Irshaad Hai Ke Jo Fajar Ki Sunnatein Na Padhe Toh Wo Unko Suraj Nikalne Ke Baad Padhe.(Sunan E Tirmizi 96/1 , Hadees : 423 , Hasan Saheeh).

In Dono Saheeh Hadeeso Ke Barqilaaf Ghair Muqallideen Ka Amal Yeh Hai Ke Wo Namaz E Fajr Se Pehle Sunnat Na Padhne ki Surat Me Farz Ke Fauran Baad Sunnatein Padhlete Hai.

13.Hazrat Abdullah Bin Zubair Rdh. Farmaate Hai Ke Allah Ke Pyaare Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam At-Tahiyaat Padhte Waqt Ungli Nahi Hilaate The.(Abu Dawud Hadees : 984).Is Hadees Ko Imam Nawawi Ne Saheeh Kaha Hai.(Al Majmoo : 417 /3 ).

Is Saheeh Hadees Ke Barqilaaf Ghair Muqallideen Qaide Me Salaam Phairne Tak Apni Ungli Hilaate Rehte Hai.

14.Huzur E Aqdas Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Zamane Me Agar Eid Juma Ke Din Aajaati Toh Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Aur Sahaba Rdh. Eid Ki Namaz Aur Jume Ki Namaz Dono Padhte The.(Saheeh Muslim:878)

Is Saheeh Hadees Ke Bar-Qilaaf Ghair Muqallideen Ka Kehna Hai Ke Eid Agar Juma Ko Aajye Toh Namaz E Juma Maaf Hojaati Hai Balke Juma Chorne Par Sawaab Milta Hai.(Fatawa Naziriya).

15.Saheeh Hadeeso Se Saabit Hota Hai Ke Pyaare Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Aur Sahaba Rdh. Se Jab Bhi Koi Namaz Neend Ya Be-Daari Me Faut Hogayi Toh In Hazraat Ne Zaroor Uski Qaza Padhi.(Saheeh Bukhari:Hadees 595 To 598 , Saheeh Muslim , Sunan E Tirmizi 431/1) Lekin In Saheeh Hadeeso Ke Bar-Qilaaf Maujuda Jamaat Ahle Hadees Ke Nazdeek Namaze Choot Jaye Toh Uski Qaza Ki Zarurat Nahi Rehti.(Fatawa Ahle Hadees).

16. Huzur Ne Ramzaan Ul Mubarak Me Sirf 3 Din Jamaat Ke Saat Taraveh Padhayi Aur Teesre Raat Bhi Sehri Tak Taraveh Padhaai Thi.(Bukhari).

Lekin Aaj Firqa E Ahle Hadees Ke Afraad Puraa Ramzaan Jamaat Ke Saat Taraveh Padhte Hai Aur Ek Raat Bhi Sehri Tak Nahi Padhte.

17.Pyaare Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Irshaad Hai Ke Apni Aurto Masjid Ko Jaane Se Na Rook Lekin Unke Ghar Unke Liye Masjido Se Behtar Hai.(Mustadak Rak Haakim: Hadees 761 , Saheeh).Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Farmaan Hai Ke Aurto Ki Sabse Behtirin Masjid Unke Ghar Ka Andruni Hissa Hai.(Mustadrak Haakim: Hadees 768 , Musnad E Ahmed).Hazrat Aisha Rdh. Farmaati Hai Ke Agar Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Is Zamane Ki Aurto Ki Badli Huvi Halaat Dekhlete Toh Zaroor Unko Masjid Aane Se Maana Farmaa Dete.(Saheeh Bukhari: Hadees 869).

In Hadeeso Ke Bar-Qilaaf Aaj Kal Ke Ghair Muqallid Khwatein Bade Fakhar Se Masjid Aakar Namaz Padh Rahi Hai Aur Huzur E Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Is Nasihat Ke bar-Qilaaf Besharmi Ke Saat Mardo Se Ijaazat Maag Rahi Hai.Jiski Waje Se Mard Unko Masjid Jaane Ki Ijaazat Dene Par Majboor Horahe Hai.

18. Hazrat Abu Ayub Ansaari Rdh. Farmaate Hai Ke Pyaare Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Choti Aur Badi Zarurat Se Faarigh Hote Waqt Qible Ki Taraf Muh Ya Peet Karne Se Mana Farmaya(Saheeh Bukhari: Hadees 145 , Saheeh Muslim: Hadees 264).

In Saheeh Hadees E Shareef Ke Bar Qilaaf Maujuda Ahle Hadees Ke Nazdeek Zarurat Se Faarigh Hote Waqt Qible Ki Jaanib Muh Ya Peet Karna Jayez Hai.

19. Hazrat Aisha Rdh. Bayaan Farmaati Hai Ke Imaamo Ke Imam Hazrat Muhammed Sallallahu Alaihi Wasallam Namaz Me Quraan E Majeed Ki Qirat Alhamdullillahi Rabbil Alameen ( Yaani Surah Fatiha ) Se Shuru Farmaate The.(Saheeh Muslim) Is Saheeh Namaz E Nabavi Ke Bar-Qilaaf Maujuda Ahle Hadees Hazraat Ka Kehna Hai Ke Surah Fatiha Qirat E Quran Me Daaqil Nahi.

20. Hazrat Wayl Bin Hujr Rdh. Farmaate Hai Ke Rasool Ullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Saat Namaaz Padhi Toh Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Apna Daya Haat Baaye Haat Par Rakhkar Seene Par Haat Padha.(Ibn Khuzaima).Yeh Hadees Bilittefaaq Zaeef Hai Kisi Muhaddis Ne Is Hadees Ko Saheeh Nahi Kaha.Is Ke Bawajuud Maujuda Ahle Hadees Log Apne Dawe Ke Barqilaaf Is Zaeef Hadees Par Amal Karte Hai Aur Saat Me Yeh Jhoot Bhi Bolte Hai ke Seene Par Haat Baandhne Ke Ahadees Saheeh Bukhari Me Bakasrat Hai.(Dekhiye Fatawa Naziriya) Is Ke Alawa Seene Par Bandhne Ki Aur Hadeese Ghair Muqallideen pesh Karte Hai Lekin Sab Zaeef Hai(Dekhiye Daleel E Namaz , Ahle Hadees Chand Haqaaiq).

21. Ahle Hadees Hazraat Witr Ki Teesri Rakaat Me Ruku Ke Baad Dua Ki Tarah Dono Haat Utaakar Dua E Qunoot Padhte Hai.Halaake Unka Yeh Amal Kisi Bhi Hadees Se Harghiz Saabit Nahi Hai Agar Koi Saheeh Hadees Unke Paas Hai -TohPesh Kare.

22.Ghair Muqallideen Imam Ke Peeche Qirat Karne Ki Daleel Yeh Pesh Karte Hai Ke: Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Sahaba Rdh. Se Farmaya:Imam Ke Peeche Kuch Na Padho Siwaye Sureh Fatiha Ke(Tirmizi , Abu Dawud) Yeh Hadees Zaeef Hai.Alame Ibn Taimiya Rh. Farmate Hai:Imam Ahmed Rh. Aur Dusre Muhaddiseen Ne Is Tarah ki AHadees Ko Zaeef Kaha Hai.(Fatawa Ibn Taimiya: 287/23)

23. Nabi E Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Eid Ki Namaz Me 12 Takbireh Kahi 7 Pehli Rakaat Me Aur 5 Dusri Rakaat Me.(Ahmed , Ibn Maja) Ghair Muqallideen Is Hadees Par Amal Karte Huve Eid Ki Namaz Me 12 Takbire Kehte Hai Halaake Yeh Hadees Zaeef Hai , Isi Tarah Tirmizi Ki Hadees Bhi Bahut Zaeef Hai.

24.Tamaam Aiyaam Tashreeq E Zabah Ke Din Hai.(Musnad E Ahmed , Ibn Majah).Is Hadees Amal Karte Huve Ghair Muqallideen Ahle Hadees Ka Yeh Kehna Hai Ke Qurbaani Ke 4 Din Hai , Halaake Yeh Hadees Bilkul Zaeef Hai.(Tafseel Ke Liye Dekhe : Ahle Hadees ke Chand Haqaaiq).

25.Ghair Muqallideen Hazraat Se Agar Fajar Se Pehle Ki Sunnat E Mokida Choot Gayi Toh Wo Fajar Ki Farz Ki Namaz Ke Baad Fauran Baad Aada Karlete Hai Aur Iski Daleel Me Tirmizi Ki Hazrat Qais Rdh. Ki Ek Hadees Pesh Karte Hai.Halaake Wo Hadees Zaeef Hone Ke Saat Bukhari Wa Muslim Ki Saheeh Hadees Ke Khilaaf Bhi Hai.

Inke Alawa Ghair Muqallideen Ke Aur Bahut Se Masail Hai Jo Quran Aur Saheeh Ahadees , Ijma E Ummat Ke Khilaaf Hai , Unme Se Chand Yaha Ba-Qaur Namuna Naqal Kiye Gaye Hai.

Read 25479 times

DARULIFTA

Visit: DARUL IFTA

Islahun Nisa

Visit: Islahun Nisa

Latest Items

Contact us

Markaz Ahlus Sunnah Wal Jama'h, 87 SB, Lahore Road, Sargodha.

  • Cell: +(92) 
You are here: Home Articles in Roman Urdu Ghair Muqallideen Ahle Hadees Bhaiyo ki Quraan aur Saheeh Hadees se Mukhalifat aur Zaeef Hadeeso par Amal.

By: Cogent Devs - A Design & Development Company