Print this page

Hazrat Umar Rdh. Ki 20 Rakaat Waali Ahadees per Naam Nihaad Ghair Muqallid Aalim Zubair Ali Zai Ke Aiteraazaat Ke Muh Tord Jawaabaat

Rate this item
(18 votes)

 

 

Hadees No 1 :

Sanad : Imam Abu Bakar Bin Abi Shaiba Rh. --> Wakii Rh. --> Maalik Bin Anas Rh. --> Yahiya Bin Saeed Rh.

Hazrat Yahiya Bin Saeed Rh. Kehte Hai Ke Hazrat Umar Rdh. Ne Ek Aadmi Ko Hukum Diya Ke Logo Ko 20 Rakaat Padhaye. (Musannaf Ibn Abi Shaiba Jild 2 Safa 285 ).

Yeh Riwayat Ki Sanad Alaa Darje Ki Saheeh Hai.

  1. Alama Zehbi  Rh. Ne Imam Abu Bakar Bin Abi Shaiba Rh.  Ko Siqa Kaha Hai. (Tazkiratul Huffaaz : 432/2)
  2. Wakii Rh. Ko Darj E Zeel Ulama Ne Siqa Kaha Hai.
  • Haafiz Zehbi Rh. (Tazkiratul Huffaaz : 282/2)
  • Hafiz Ibn Hajar Rh. (Taqreeb At Tehzeeb : 151/2)

Inke Alawa Abdur Rehmaan Mubarak Puri Ghair Muqallid Ne Bhi Siqa Kaha Hai.(Tohfatul Hauzi : 24/2).Mashoor Ghair Muqallid Maulana Shamul Haq Azeem  Ne Siqa Kaha Hai.(Ta’aleeq Al Mughni : 17/2)

  1. Imam Malik Bin Anas Rh. Ki Siqaahat Aur Jalaalat Par Puri Ummat Ka Ittefaaq Hai.(Taqreeb : 151/2).
  2. Hazrat Yahiya Bin Saeed Rh. Tabien Hai Aur Darje Zeel Fuqaaha Wa Muhaddieen Ne Tauseeq Ki Hai.
  • Imam Ahmed Bin Hambal Rh.
  • Imam Yahiya Bin Maeen Rh.
  • Imam Ibn Hibbaan Rh.
  • Imam Abu Haatim Rh.
  • Imam A’azli Rh.
  • Imam Ali Bin Madnii Rh. (Tazkiratul Huffaaz : 137/1 , Al Jarah Wa Ta’adeel : 149/9)

Barhaal Is Hadees Ki Sanad Alaa Darje Ki Hai.

Aur Yeh Hadees Mursal Hai Kyunke Is Hadees Ke Raavi  Hazrat Yahiya Bin Saeed Rh. Ne Hazrat Umar Rdh. Ka Zamaana Nahi Paaya.

Aur Mursal Hadees Darj E Zeel  Fuqaaha , Muhaddiseen Aur Ulama Ke Qareeb Hujjat Hai.

  1. Tamaam Tabien E Izaam Rh. (Tadreeb Ur Raavi : 167/1)
  2. Imam E Azam Abu Hanifa Rh. (Tadreeb Ur Raavi : 167/1)
  3. Imam Malik Bin Anas Rh. (Tadreeb Ur Raavi : 167/1)
  4. Imam E Azam Rh. Aur Imam Malik Rh. Ke Muqallideen Bhi Mursal Hadees Ko Hujjat Maante Hai. (Muqaddama Ibn Salah : 5)
  5. Imam Ahmed Rh. (Tadreeb Ur Raavi : 167/1)
  6. Imam Aauzaai Rh. (Tadreeb Ur Raavi : 167/1)
  7. Imam Sufiyaan Suri Rh. (Tadreeb Ur Raavi : 167/1)
  8. Alama Ibn Himaam Rh. (Fathul Qadeer : 40/1)
  9. Alama Nooruddin Rh.  (Muqaddama Ibn Salah : 5)
  10. Alama Ibn Jareer Rh. (Tadreeb Ur Raavi : 167/1)
  11. Hazrat Shah Wali Ullah Muhaddis Dehelwi Rh.   (Hujjatul Baalegha 140/1)
  12. Shaik Ul Islaam Zakarriya Ansaari Rh.  (Sharah Nahbatul Fikr Shaik Ul Islaam Bawaala Rakaat E Taraveh : 65)

Mursal e Motazid Hadees : (Mursal e Motazid ka Matlab Yeh hai ke Is Mursal ki Taaid Kisi Dusre Riwayat se Khuwa Musnad ya Mursal se Hoki ho Ya Ispar Sahaba Ikraam Rdh. Ya Aksar Ulama ne Amal Kiya Ho).

Darj e Zeel Fuqahaa wa Muhaddiseen ke Nazdeek Hujjat hai:

  1. 1.Imam Shafii Rh.
  2. 2.Imam Ibn Hajar Asqalaani Shafii Rh.
  3. 3.Imam Nawawi Shafii Rh.
  4. 4.Aur Imam Shafii ke Hum Fikr Muhaddiseen wa Ulama. (Muqaddama Sharah Muslim : 17 , Sharah Nahbatul Fikr : 51 , Zaad Ul Ma’aad : 103/1 ).

Inke Alawa Khud Ghair Muqallideen Ulama Ke Qareeb Bhi Mursal e Motazid Riwayat Hujjat Hai.

  1. Abdur Rahmaan Mubarak Puri Rh. (Tehqeeq Ul Kalaam : 95/1)
  2. Maulana Abdur Rawoof Sahaab. (Al Qaul Al Maqbool Fii Sharah Salaatur Rasool : 370 )
  3. Alama Shaukaani  Rh. (Neel Al Aautaar : 349/3 )
  4. Maulana Saadiq Siaalkoti Rh. (Salaatur Rasool : 188 )
  5. Mufti Sanaullah Madani.  (Hifat  E Rooza Al Aitesaam 27 , Moharram  1420 Hijri )

BARHAAL TAMAAM TABIEN E IZAAM RH. KA IJMA HAI KE  MURSAL HADEES HUJJAT HAI.

Aiteraaz : Zubair Ali Zai Ne Likha Hai Alama Naimwi Rh.Ke Ne Kaha Yahiya Bin Saeed Ansaari Rh. Ne Hazrat Ka Zamaana Nahi Paaya Aur Ibn Hazm Rh.Ke Hawaale Se Likha Hai Yahiya Bin Saeed Ansaari Rh.  Hazrat Umar Rdh. Ki Wafaat Ke 50 Saal Baad Huwe Hai.

Aur Phir Likha Hai Ke Yeh Riwaayat Munqateh Hai Aur Ibn Kaseer Rh. Ke Hawaale Se Baat Saabit Karna  Chaahi Ke Yeh Riwayat Zaeef Hai.( Tadad Rakat Qayam E Ramzan Ka Tahqeeqi Jaiza : 75-76)

Al Jawaab : Zubair Ali Zai Ka Yeh Aiteraaz Bilkul Baatil Kyunke Puri Ummat Aur Khud Ghair Muqallideen Ulama Ka Ittefaaq Hai Ke Mursal or Mursal e Motazid Hadees Hujjat Hai.

Chuke Hazrat Yahiya Bin Saeed Rh. Ki Mazkoor Riwayat Bhi Mursal E Motazid Hai Isliye Ke Iski Taai-Ed Degar Kai Musnad Aur Mursal Riwayaat Se Horahi Hai , Aur Imam Shafii Rh. Aur Unke Hum Asar Fuqaaha Aur Muhaddiseen Ke Nazdeek Bhi  Mursal E Motazid  Bhi Hujjat Hai.  (Muqaddama Sharah Muslim : 17 , Sharah Nahbatul Fikr : 51 , Zaad Ul Ma’aad : 103/1 ).

Neez Ispar Sahaba Rdh. Aur Aksar Ulama Ka Amal Hai.(Tirmizi : 99/1).Lehaaza Is Riwaayat Ke Hujjat Aur Saheeh Hone Me Koi Shak Wa Shuba Nahi Hosakta.

Hadees No 2 : Hazrat Yazeed Bin Haroon Rh. Tabii Se Riwayat Hai Aap Ne Farmaaya Ke Log (Sahaba Ikraam Rdh. Wa Tabien E Izaam) Hazrat Umar Bin Khattab Rdh. Ke Zamaana E Khilaafat Me Maah E Ramzaan Me 23 Rakaat (20 Rakaat Taraveh Aur 3 Witr) Padhte The.(Muwatta Imam Malik Rh. : 40)

Sanad : Imam Malik Rh. -->  Yazeed Bin Haroon Tabii Rh.

Yazeed Bin Haroon Tabii Hai Aur Hazrat Anas Aur Hazrat Abdullah Bin Zubair Rdh. Ke Shaagird Hai.

Inki Tauseeq Darj E Zeel Muhaddiseen Ne Ki Hai :

  1. Imam E Asma Ur Rijaal Imam Yahiya Bin Maeen Rh. (Tehzeeb At Tehzeeb : 325/11)
  2. Imam Nasai Rh. (Tehzeeb At Tehzeeb : 325/11)
  3. Imam Ibn Hibban Rh. (Tehzeeb At Tehzeeb : 325/11)
  4. Imam Ibn Hajar Rh. (Tehzeeb At Tehzeeb : 323/2)

Aiteraaz : Zubair Ali Zai Ne Likha : Is Hadees Munqate Sanad Se Hai Aur Is Hadees Zaeef Tehraane Ki Koshish Ki Hai.( Tadad Rakat Qayam E Ramzan Ka Tahqeeqi Jaiza : 77)

Al Jawaab : Yeh Muwatta Ki Mursal Riwayat Hai Aur Muwatta Me Jitni Bhi Mursal Rwayaat Hai Unke Saheeh Aur Qaabil E Hujjat Hone Par Tamaam Muhaddiseen Ka Ittefaaq Hai.

Darj E Zeel Fuqaaha , Muhaddiseen  Aur Ulama E Ikraam Is Baat Qaayal Hai.

  1. Imam Shafii Rh. 
  2. Alama Suyuti Rh. (Murqaah Sharah Mishkaat 18 / 1)
  3. Imam Ibn Abdul Bar Rh.  (Musfaa Sharah Muwatta : 6 & 8 )
  4. Shah Wali Ullah Muhaddis Dehelwi Rh. (Musfaa Sharah Muwatta : 6 & 8 )

Khud Ghair Muqallideen Ulama Ka Bhi Kehna Hai Muwatta Imam Malik Ki Tamaam Riwayaat E Saheeh Hai Aur Darj E Zeel Ulama Is Baat Ke Qaayal Hai.

  1. Abdur Rehmaan Mubarak Puri Rh. (Tohfatul Hauzi : 30)
  2. Maulana Miya Ghulaam Rasool Sahaab Rh. (Risaala E Taraveh : 42)
  3. Hafiz Muhamme Gonalwi Sahaab.  (Al Tehqeeq Al Raseekh : 16-17)
  4. Maulwi Muhammed Qaasim Khwaja.  (Hayyi Alas Salaah : 18 )

Lehaaza Jab Tamaam Muhaddiseen Aur Khud Ghair Muqallideen Ke Nazdeek Bhi Muwatta Ki Tamaam Mursal Riwaayat Saheeh Hao Toh Phir Muwatta Ki Yeh Riwayat Par Zubair Ali Zai Ka Aiteraaz Fuzool Aur Bekaar Hai.

Hadees No 3 : Hazrat Abdul Aziz Bin Rafee Tabii Rh. Farmaate Hai Ke Hazrat Ube Bin Ka’ab Rdh.(Ahed E Farooqi) Logo  Ko Madine Munawwara Me 20 Rakaat (Taraveh) Aur 3 Witr Pahaaya Karte The. (Musannaf Ibn Abi Shaiba : 285/3)

Sanad : Imam Abu Bakar Bin Abi Shaiba Rh. --> Humaid Bin Abdur Rehmaan Al Rausi Abu Aauf  Rh. --> Hasan Bin Saaleh Rh. --> Abdul Aziz Bin Rafee Tabii Rh.

Imam Abu Bakr Bin Abi Shaiba Rh. Ka Tazkirah Guzar Chukka Hai.

2nd Ravi : Humaid Bin Abdur Rehmaan Al Rausi Abu Aauf  Rh.

Darj E Zeel Fuqaaha , Muhaddiseen Aur Ulama Ne Unki Tauseeq Ki Hai :

  1. Imam E Asma  Ur Rijaal Imam Yahiya Bin Maeen Rh. (Tehzeeb At Tehzeeb : 34/3 , Tazkiratul Huffaaz : 288/1)
  2. Imam Ahmed Bin Hambal Rh. (Tehzeeb At Tehzeeb : 34/3 , Tazkiratul Huffaaz : 288/1)
  3. Imam Ibn Hibban Rh.  (Tehzeeb At Tehzeeb : 34/3 , Tazkiratul Huffaaz : 288/1)
  4. Imam Ibn Sa’ad Rh. (Tehzeeb At Tehzeeb : 34/3 , Tazkiratul Huffaaz : 288/1)
  5. Imam Ajli Rh. (Tehzeeb At Tehzeeb : 34/3 , Tazkiratul Huffaaz : 288/1)
  6. Imam Abu Bakar Bin Abi Shaiba Rh. (Tehzeeb At Tehzeeb : 34/3 , Tazkiratul Huffaaz : 288/1)

3rd Raavi : Hazrat Hasan Bin Saaleh Rh. Hai Aur Unki Darj E Zeel Ulama Ne Tauseeq Ki Hai :

  1. Imam Ahmed Bin Hambal Rh. (Tehzeeb Al Kamaal : 349/4 , Tehzeeb At Tehzeeb)
  2. Imam Nasaai Rh. (Tehzeeb Al Kamaal : 349/4 , Tehzeeb At Tehzeeb)
  3. Imam Yahiya Bin Maeen Rh. (Tehzeeb Al Kamaal : 349/4 , Tehzeeb At Tehzeeb)
  4. Imam Abu Haatim Rh. (Tehzeeb Al Kamaal : 349/4 , Tehzeeb At Tehzeeb)
  5. Imam Abu Zara’aa Rh. (Tehzeeb Al Kamaal : 349/4 , Tehzeeb At Tehzeeb)
  6. Imam Ibn Sulaimaan Rh.   (Tehzeeb Al Kamaal : 349/4 , Tehzeeb At Tehzeeb)
  7. Imam Ibn Hajar Asqalaani Rh. (Taqreeb : 205/1)

4th Raavi: Hazrat Abdul Aziz Bin Rafii Rh. Siqaa Tabien Hai.

Darj E Zeel Fuqaaha , Muhaddiseen Aur Ulama Ne Unki Tauseeq Ki Hai :

  1. Imam Ul Asma Ur Rijaal Imam Yahiya Bin Maeen Rh. (Tehzeeb Al Kamaal : 496/11 , Tehzeeb At Tehzeeb : 30/6)
  2. Imam Ahmed Bin Hambal Rh. (Tehzeeb Al Kamaal : 496/11 , Tehzeeb At Tehzeeb : 30/6)
  3. Imam Abu Haatim Rh. (Tehzeeb Al Kamaal : 496/11 , Tehzeeb At Tehzeeb : 30/6)
  4. Imam Raazi Rh. (Tehzeeb Al Kamaal : 496/11 , Tehzeeb At Tehzeeb : 30/6)
  5. Imam Nasaai Rh. (Tehzeeb Al Kamaal : 496/11 , Tehzeeb At Tehzeeb : 30/6)
  6. Imam Yaaqub Bin Shaiba Rh.  (Tehzeeb Al Kamaal : 496/11 , Tehzeeb At Tehzeeb : 30/6)
  7. Imam Ibn Hajar Asqalaani Rh. (Taqreeb : 603/1)

Aur Hazrat Ube Ka’ab Rdh. Mashoor Sahaabi Hai.Gharz Yeh Riwayaat Bilkul Saheeh Aur Mursal E Motazid Hai Jis Ki Hujjat Hone Par Sab Ka (Imam E Azam Abu Hanifa Rh. (Tadreeb Ur Raavi : 167/1) , Imam Malik Bin Anas Rh. (Tadreeb Ur Raavi : 167/1) , Imam Ibrees Bin Shafii Rh. (Muqaddama Sharah Muslim : 17 , Sharah Nahbatul Fikr : 51 , Zaad Ul Ma’aad : 103/1 ). , Aur Imam Ahmed Bin Hambal Rh. (Tadreeb Ur Raavi : 167/1) ) Ka Ijma Hai.

Aiteraaz : Zubair Ali Zai Ne Yeh Hadees Par Aiteraaz Kiya Hai Ke Mursal Riwayaat Zaeef Hai. ( Tadad Rakat Qayam E Ramzan Ka Tahqeeqi Jaiza : 76)

Al Jawaab : Zubair Ali Zai Sahaab Ijma Ke Khilaaf Daleel Dene Waale Ko Hum Iblees Ke Naam Se Jaante Hai.Lehaaza Ibleesi Kaam Na Kare Aur Ijma Ko Tasleem Kare.

Chuke Mursal or Mursal e Motazid Ke Hujjat Hone Par Tamaam Fuqaaha , Muhaddiseen Aur Ulama Ka Ijma Hai ,Yahi Waje Hai Ke Zubair Ali Zai Sahaab Ka Aiteraaz Baatil Hai.

Hadees No 4 : Hazrat Hasan Basri Rh. Se Riwayat Hai Ke Hazrat Umar Bin Khattab Rdh. Ne Logo Ko Hazrat Ube Bin Ka’ab (Ki Iqtedaa) Par Ekhatta Farmaaya Toh Wo Logo Ko 20 Rakaat (Taraveh) Padhaate The. (Sunan E Abu Dawud : 203/1).

Sanad : Imam Abu Dawud Rh. --> Hishaam Bin Basheer Al Salmi Al Waasti Rh. --> Younus Bin Ubaid Tabii Rh. --> Imam Hasan Al Basri Rh.

1st Raavi : Imam Abu Dawud Rh. : Jo Haafiz  , Siqaa Aur Sunan E Abu Dawud Ke Musannif Aur Bade Ulama Aur Muhaddiseen Me Se Hai. (Taqreeb At Tehzeeb : 382/1)

2nd Raavi : Hishaam Bin Basheer Al Salmi Al Waasti Rh. Hai Aur Darj E Zeel Fuqaaha , Muhaddiseen Aur Ulama Ne Unki Tauseeq Ki Hai :

  1. Imam Ibn Hadi Rh. (Tehzeeb At Tehzeeb : 59/11)
  2. Imam Ajli Rh. (Tehzeeb At Tehzeeb : 59/11)
  3. Imam Abu Haatim Rh. (Tehzeeb At Tehzeeb : 59/11)
  4. Imam Abu Zara’a Rh. (Tehzeeb At Tehzeeb : 59/11)
  5. Imam Ibn Sa’ad Rh. (Tehzeeb At Tehzeeb : 59/11)

3rd Raavi : Younus Bin Ubaid Tabii Rh. Hai Aur Hafiz Ibn Hajar Rh. Ne Bhi Unki Tauseeq Ki Hai. (Taqreeb At Tehzeeb : 349/2)

 

4th Raavi : Imam Hasan Al Basri Rh. Hai Aur Mashoor , Jaleel Ul Qadr , Tabii , Imam Aur Hazrat Ali Rdh. Ke Shaagird Hai.Imam Ibn Hajar Asqalaani Rh. Ne Unki Tauseeq Ki Hai. (Taqreeb At Tehzeeb : 202/1 )

Aiteraaz : Zubair Ali Zai Is Par Yeh Aiteraaz Kiya Hai Ke Abu Dawud Ke Bahut Se Nusqo Me Yeh Riwaayat “ Ishreen A Lail “ Yaani 20 Raatein Ke Alfaaz Se Maujuud Hai.

Aur Ulama E Deoband Ki Taqleed Karte Huwe Zubair Ali Zai Yeh Saabit Karna Chaaha Ke 20 Raatein Waala Nusqa Saheeh Hai Aur 20 Rakaat (Taraveh) Wala Nusqa Ghalat Hai. ( Tadad Rakat Qayam E Ramzan Ka Tahqeeqi Jaiza : 75)

Al Jawaab : Zubair Ali Zai Ka Yeh Aiteraaz Bilkul Baatil Hai.Kyunke Abu Dawud Ke Jo Nusqo Me 20 Rakaat Ka Tazkiraah Hai Uski Tasreeh Darj E Zeel Muhaddiseen Wa Ulama Ne Ki Hai :

  1. 1.Alama Zehbi Rh. (Al Seer A’alaam Ul Nabeelaa : 404/1)
  2. 2.Haafiz Ibn Kaseer Rh. (Jaamia Al Masaanid Wal Sunan (Raqamul Hadees : 62) )
  3. Imam Ibn Qudaama Rh. (Al Mughni Jild 2)
  4. Shaik Shah Ishaaq Dehelwi Rh. (Sunan Abu Dawud , Mujtabaai Delhi)
  5. Shaik Ul Hind Maulana Mahmood Ul Hasan Rh.

Barhaal Alama Zehbi Rh. , Imam Ibn Kaseer Rh. Ibn Qudaama Rh. Wagaira Muhaddiseen Yeh Hadees Ko Lafs E Ishreen A Rakaatan Ke Saat Yaani 20 Rakaat Ke Saat Naql Kiya Hai.

Lehaaza Ghair Muqallid Zubair Ali Zai Ka Yeh Kehna Ke 20 Raatein Waala Nusqa Saheeh Hai Aur 20 Rakaat (Taraveh) Wala Nusqa Ghalat Hai Bilkul Baatil Hai Kyunke Abhi Humne Alama Zehbi Rh. Wagaira Chooti Ke Muhaddiseen Ke Hawaale Se Saabit Kiya Ke 20 Rakaat Wala Nusqa Bhi Saabit Hai.

Akheer Me Khud Ghair Muqallideen Ke Mayaanaaz Aalim Wa Muhaqiq Abdur Rehmaan Mubarak Puri Ki Tasreeh Pesh Karta Hu : Likhte Hai : Kutub E Hadees Me Muta’aadid Riwayaat Aur Ibaraat Aisi Hai Jo Ba’az Nusqo Me Hai Aur Baaz Nuqso Me Nahi Magar Koi Bhi Unko “Al Haaqi” Nahi Batlaata (Tehqiqul Kalaam : 149/2)

Aur Agar Ghaur Kiya Jaaye Toh Ishreen A Rakaatan Wala Nusqa Hi Raajeh Maloom Hota Hai Kyunke Hazrat Ube Bin Ka’ab Ke Baaqi Riwayaat Bhi Ishreen A Rakaat  Ke Saat Aayi Hai. (Masalan Yahiya Bin Saeed Rh. Ki Hadees Jo Guzarchuki Hai) Is Me Bhi Yahi Alfaaz Hai.

Aur Kanzul Ammaal  (409/4) Ki Riwayat Me Bhi Yahi  Alfaaz Hai.

Isi Tarah Ibn Taimiya Rh. Ne Apne Fatawe Me Bhi Yahi Alfaaz Ke Saat Farmaayi (Fatawa Ibn Taimiya : 560/11).

Hambali Maslak Ke Tarjumaan Imam Ibn Qudaama Rh. Ne Bhi Yahi Likha Hai (Al Mughni 799/1).

Maloom Huwa Ke Ishreena Rakaatan Wala Nusqa Raajeh Hai Aur Zubair Ali Zai Ka Aiteraaz Baatil Hai.

Hadees No 5 : Hazrat Saeeb Bin Yazeed Rdh. Se Riwayat Hai Ke Aap Ne Farmaaya : Hum (Nabi AS Ke Sahaba Rdh.) Hazrat Umar Bin Khattab Rdh. Ke Zamana E Khilaafat Me 20 Rakaat Aur 3 Witr Ke Saat Qiyaam Karte The. (Ma’arifatul Sunan Wa Aasaar : 42/4 )

Is Riwaayat Ki Sanad Ko Imam Sabki Rh. Ne (Sharah Minhaaj Me ) Aur Alama Suyuti Rh. Ne (Sharah Muwatta) Me Saheeh Qaraar Diya Hai. (Tohfatul Hauzi : 75/2)

Aiteraaz  : Zubair Ali Zai Sahaab Ne Farmaya  Yeh Riwaayat Shaaz Hai Kyunke Saeeb Bin Yazeed Ne Farmaya Hum Ne Hazrat Syadna Omar R.A Ke Zamane Me 11 Rakat Padhte The.

( Tadad Rakat Qayam E Ramzan Ka Tahqeeqi Jaiza : 79-80)

Is Riwayat Se Istaidlaal Baatil Hai Kyunke Is Riwayat Ke Markazi Raavi Abdul Aziz Bin Muhammed Par Aimma E Hadees Ne Aisi Jarhe Ki Hai Jiski Waje Se Khud Ghair Muqallideen Ke Nazdeek Bhi Iski Hadees Se Aitejaaj Jayez Nahi Hai.Chunaache

  1. Imam Ibn Saad Rh. Farmaate Hai Ke: Riwayat E Hadees Me Ghaltiyaa Karta Hai. (Tehzeeb al Kamaal : 527-528 / 11 , Tehzeeb At Tehzeeb : 352-353/2 , Al Jarah Wa Ta’adel)
  2. Imam Ibn Hibban Rh. Kitaab Ul Saaqit Me Usko Qatakaar Batlaate Hai. (Tehzeeb al Kamaal : 527-528 / 11 , Tehzeeb At Tehzeeb : 352-353/2 , Al Jarah Wa Ta’adel)
  3. Imam Ahmed Bin Zubair Rh. Farmaate : Ke Yeh Kuch Nahi Hai. (Tehzeeb al Kamaal : 527-528 / 11 , Tehzeeb At Tehzeeb : 352-353/2 , Al Jarah Wa Ta’adel)
  4. Imam Nasaai Rh. Farmaate Hai : Yeh Riwayat E Hadees Mazboot Nahi Hai , Neez Farmaate Hai Ke Uski Ahadees Ubaidullah Umri Se Munkir Hai. (Tehzeeb al Kamaal : 527-528 / 11 , Tehzeeb At Tehzeeb : 352-353/2 , Al Jarah Wa Ta’adel)
  5. Imam Abu Haatim Rh. Farmaate Hai Ke Yeh Qaabil E Hujjat Nahi. (Taqreeb At Tehzeeb : 207/1 )
  6. Imam Ibn Hajar Asqalaani Rh. Farmaate Hai Dusre Muhaddiseen Ki Kitaabo Se Ahadees Naql Karna Me Ghaltiyaa Karta Tha. (Taqreeb At Tehzeeb : 207/1 )
  7. Imam Ahmed Bin Hambal Rh. Farmaate Hai : Yeh Riwayat Me Kuch Nahi Hai.Neez Farmaate Hai Ke Yeh Zubaani Riwayaat Bayaan Karta Hai Toh Wahem Kar Jaata Hai Aur Baatil Riwaayaat Naql Karta Hai.Neez Farmaate Hai Ke Yeh Logo Ki Kitaabo Se Ahaadees Naql Karne Me Khata Aur Wahem Kar Jaata Hai. (Mizaan ul Aitedaal : 633-634/2 , Al Kaashif : 178/2 , Tehzeeb : 353 /6 )
  8. Imam Sa’ad Bin Saeed Rh. Farmaate : Fiya E Leen. Yeh Riwayat E Hadees Me Kamzoor Hai. (Mizaan ul Aitedaal : 633-634/2 , Al Kaashif : 178/2 , Tehzeeb : 353 /6 )
  9. Imam Shaaji Rh. Farmaate Hai Ke : Kaseer Ul Wahem Hai. (Mizaan ul Aitedaal : 633-634/2 , Al Kaashif : 178/2 , Tehzeeb : 353 /6 )

Maulana Irshaad Ul Haq Asri Likhte Hai Ke : Kaseer Ul Wahem Jarah Mufassir Hai. (Tauzihul Kalaam : 479/1)

Hafiz Zubair Ali Zai Ghair Muqallid Likhte Hai : Jis Shaks Ki Riwayaat Hai Me Qata Aur Wahem Zyaada Ho Toh Uski Hadees Tark Kardi Jaati Hai. (Noor ul Aainain : 63)

  1. Mashoor Muhaddis Aur Imam Ur Rijaal Hazrat Abu Zara’a Farmaate : Abdul Aziz Bure Haafize Waale Raavi Hai Aur Basaa Auqaat Apne Haafize Se Kuch Bayaan Karta Hai Toh Ghalti Kar Jaata Hai. (Tehzeeb At Tehzeeb : 343/6)

Maulana Sultaan Mehmood Sahaab Ghair Muqallid Likhte Hai Ke : Kazab , Bure Hafize Waale Wagaira Jarah Mufassir Hai. (Istelaahat al Muhaddiseen : 20 )

Maulana Gonalwi Sahaab Ghair Muqallid Likhte Hai : Bure Haafize Waale , Alhaaq , Waza’a Wagaira Jarah Mufassir Hai. (Tehqeeq Al Raaskh : 114)

Maulana Irshaad Ul Haq Asri Bure Haafiz Waale Jarah Mufassir Kehte Hai. (Tauzihul Kalaam : 630/2)

Isi Tarah Maulana Abdur Rehmaan Mubarak Puri Rh. Ghair Muqallid Kehte Hai Ke Bure Haafiz Waale Jarah Mufassir Hai. (Abkaar Al Manin : 168-169)

Aur Ghair Muqallid Aalim Shaik Abdur Raroof Sahaab Likhte Hai : Abdul Aziz Bin Muhammed Ki Riwayat Toh Motabar Hi Nahi. (Al Qaulul Maqbool : 558 )

Aur Isi Tarah Is Sanad me Ek aur Raavi “Isaa bin Jaariya “ Jo Nihayat e Zaeef Hai  aur

Darj e Zeel Ulama ne Usko Zaeef Kaha hai.

  1. Imam ul Jarah wa Ta’adeel Hazrat Yahiya Bin Maeen Rh. Farmaate hai ke Yeh Kuch Bhi Nahi hai. ( Tehzeeb At Tehzeeb : 186 /8 , Tehzeeb al Kamaal : 533 , 534 /14 , Mizaan ul Aitedaal : 311/3)
  2. Imam Ibn Maeen Rh. Uske Bare me Yeh Bhi Farmaate hai ke Uske Paas Munkir Riwayaat e Hai. ( Tehzeeb At Tehzeeb : 186 /8 , Tehzeeb al Kamaal : 533 , 534 /14 , Mizaan ul Aitedaal : 311/3)
  3. Imam Abu Dawud Rh. Farmaate hai : Ibn Jaariya ne Munir Riwayaate Naql ki. ( Tehzeeb At Tehzeeb : 186 /8 , Tehzeeb al Kamaal : 533 , 534 /14 , Mizaan ul Aitedaal : 311/3)
  4. Imam Abu Dawud Uske Bare me Yeh Bhi Farmaaya : Yeh Munkir ul Hadees Hai. ( Tehzeeb At Tehzeeb : 186 /8 , Tehzeeb al Kamaal : 533 , 534 /14 , Mizaan ul Aitedaal : 311/3)
  5. Imam Nasaai Rh. ne Bhi Munkirul Hadees Kehte hai. ( Tehzeeb At Tehzeeb : 186 /8 , Tehzeeb al Kamaal : 533 , 534 /14 , Mizaan ul Aitedaal : 311/3)

Maulana Irshaad ul Haq Asri Ghair Muqallid Imam Ibn Hajar Rh. se Naql Karte hai : Jis ki Ghaltiyaa Zyaada ya Ghaflat Ba-kasrat ho Ya Faasiq Zaahir ho , Uski Hadees Munkir hai. (Tauzihul Kalaam : 628/2)

Maulana Abdur Rehmaan Mubarak Puri Sahaab Likhte hai : Munkir ul Hadees Raavi me Aisa Wasf Hai ke Uski Waje se Wo Is Baat ka Mustahiq Hojaata hai ke Uski Hadees Tark Kardi Jaaye.( Abkaar Al Manin :  199)

Maulana Gonalwi Sahaab Likhte hai : Munkirul Hadees se Qaabil e Aitebaar Jarah Saabit hai.(Khair ul Kalaam : 160)

Haafiz Muhammed Ishaq Ghair Muqallid Ek Hadees Tehqeeq me Likhte hai : In Dono Raaviyo ke Zaeef Balke Awaal Al Zikr ke Munkir ul Hadees Hone ki Binaa par Kaha Jaasakta hai ke Hadees Zaeef Judaa Ya Munkir ke Darje Tak Pahunchi Huwi Hai. (Haft Rooza Al Ahtesaam : 20 , 17 August , 1996 )

Maulana Irshaad ul Haq Asri Likhte hai : Munkirul Hadees ke Alfaaz Raavi ke Zaeef Hone Par Dalaalat Karte Hai. (Tauzihul Kalaam : 499/1 )

Hafiz Zubair Ali Zai Likhte hai : Sawaar Munkirul Hadees Yaani Saqt Zaeef hai. (Mahanaama Al Hadees , Safa 15 , September 2004)

In Tamaam se Saabit Huwa ke Yeh Jarah Ghair Muqallideen ke Qareeb Intehaai saqt , Qaabil e Aitebaar aur Mufassir Jarah hai.

  1. Imam Nasaai Rh. Munkirul Hadees ke Saat Saat Matrook ul Hadees Bhi Farmaaya. ( Tehzeeb At Tehzeeb : 186 /8 , Tehzeeb al Kamaal : 533 , 534 /14 , Mizaan ul Aitedaal : 311/3)

Maulana Irshad ul Haq Asri Likhte hai : Kazzab , Matrook , Lees Bisiqa ke Alfaaz Shadeed Jarah me Shumaar Hote hai. (Tauzihul Kalaam : 608/2 )

  1. Imam Ibn A’adi Rh. Farmaate Hai : Isa Bin Jaariya ki Bayaan Karda Hadeese Ghair Mehfooz hai. ( Tehzeeb At Tehzeeb : 186 /8 , Tehzeeb al Kamaal : 533 , 534 /14 , Mizaan ul Aitedaal : 311/3)

Maulana Rehmaani Sahaab Tasleem Karliya hai : ke Ibn Jaariya ki Bayaan Karda Hadeese Ghair Mehfooz aur Shaaz hai. Shaaz Raavi ke Bare me Khud Likhte hai : Agar Hifz ke Aitebaar se Bahut Bahut Giraahuwa Raavi ho Toh Uski Riwayat Shaaz wa Munkir Kahi Jaayegi. (Anwaar ul Masaabih : 123)

  1. Imam Aqeeli Rh. ne Isa Bin Jaariya ko Zaeef Raavi me Shumaar Kiya hai. ( Tehzeeb At Tehzeeb : 186 /8 , Tehzeeb al Kamaal : 533 , 534 /14 , Mizaan ul Aitedaal : 311/3)
  2. Imam Shaaji Rh ne Bhi Isko Zaeef Raaviyo me Shumaar Kiya hai. ( Tehzeeb At Tehzeeb : 186 /8 , Tehzeeb al Kamaal : 533 , 534 /14 , Mizaan ul Aitedaal : 311/3)
  3. Alama Nooruddin Rh. Farmaate Hai : ke Usko (Isaa Bin Jaariya) Zaeef hi Kaha Jaaye.
  4. Imam Ibn Hajar Asqalaani Rh. Iske Bare me Likhte hai ke Isaa Bin Jaariya Riwayat e Hadees me Kamzoor (yaani Zaeef ) Hai. (Taqreeb at Tehzeeb : 779/1)
  5. Imam Ibn Hajar Rh. Isa Bin Jaariya Ko Chete (6th ) Tabqe me Shumaar Kiya hai. (Anwaar ul Musaabih : 116 Ba-Hawaala Taqreeb  : 1)

Aur Alama Ahmed Shaakir Ghair Muqallid Likhte hai : Choute(4th) Tabqe ke Baad Waale Tabqaat ki Riwayaat Mardood Hai.(Al Baa-is Al Hasees : 107)

Maloom Huwa Ghair Muqallideen ki Nazdeek bhi Yeh Riwayat Mardood hai.

Lehaaza Zubair Ali Zai ne Is 20 Rakaat Hadees ko Shaaz Saabit Karne ke Liye Jo hadees Pesh kit hi Wo Intehaai Zaeef hai. Isliye Zubair Ali Zai ka Aiteraaz Bilkul Baatil hai.

Dua Allah Tala se ke Allah Tala Aise Logo ki Dajal aur Fareeb se Saari Ummat ki Hifaazat Farmaaye.

 

 

Read 4120 times