AhnafMedia

Rafa Yadain

Rate this item
(13 votes)

 

 

 

Hadees Ibn Umar Me Isteraab:

Ek Toh Yeh Ke Hazrat Abdullah Bin Umar Rdh. Ki Yeh Hadees Rafedain Ke Mawaaqe Ke Bareme Me Isteraab Hai.Is Me 6 Isteraab.

Mudwana Kubra Me Ibn Umar Ki Rivayat Me Sirf Takbeer E Tehrima Ke Waqt Rafe Dain Ka Zikr Hai.

Muatta E Malik Me 2 Jagah Ek Iftetah E Namaz Ke Waqt Aur Dusre Ruku Ke Baad Utte Huve Rafedain Ka Zikr Hai Aur Ruku Me Jaane Ke Waqt Ka Rafedain Ka Nahi Hai.

Bukhari Wa Muslim Wagaira Ki Rivayat Me Isi Rivayat Me 3 Mawaqe Par Rafedain Ka Zikr Hai : Takbeer E Tehrim Ke Waqt , Ruku Ko Jaate Huve Aur Ruku Se Utte Huve.

Saheeh Bukhari Me Naafe Ke Tareeq Se Un 3 Mawaqe Ke Alawa 2 Rakato Ke Baad Utte Huve Rafedain Ka Zikr Bhi Hai Aur Is Tarah Rafedain 4 Mavaqe Par Hoga.

Bukhari Ke Juz E Rafedain Me Sajde Ko Jaate Waqt Bhi Rafedain Ka Zikr Batareeq Naafe Aaya Hai.

Imam Tahawi Ki Mushkil Al Asaar Me Har Khafs Wa Rafe Aur Ruku , Sajda , Qiyaam Wa Qaida Aur Sajdo Ke Darmiyaan Me Rafedain Ka Zikr Kiya Hai.

( Tasfeel Ke Liye Dekhe Maariful Sunan: 473/2-474)

Algarz hazrat Abdullah bin omer rdh. Ki riwayat jaisa ke abhi mazkoor huwa isteraab hai isse aitejaaj kaise saheeh hogaya agar koi hanafi aisi riwayat se istedlaal kardeta toh yeh log cheegh pukaar karte Magar yahi log aisi riwayat se istedlaal karke faqr karte hai.

Aur Agar yeh hadees ka Kisi tarah difa kiya jaaye toh isse zyada se zyada yeh sabit hoga ke rasoolullah SAW ne Rafedain kiya hai. Puri Ummat yeh samajti hai ke Rafedain Huzur SAW ka Amal Hai Iska Inkaar Koi nahi karta Lekin Asal Kalaam is par baat hai ke Aap SAW ne Yeh Amal Hamesha Kiya ? Iska Koi Saboot Nahi Milta.

Awaal Yeh ke Bahut Sahaba Ikraam Rdh. Aur Tabien Rh. Namaz Me Takbeer E Tehreema Ke Waqt Haat Utaate The Phir Dobaara Nahi Utaate The. (Tirmizi Shareef : Hadees : 782).

Duwam Yeh ke Hazrat Ibn Umar Rdh. Ka Amal bhi Is Hadees ke Khilaaf Hai.

حَدَّثَنَا ابْنُ أَبِي دَاوُد قَالَ : ثنا أَحْمَدُ بْنُ يُونُسَ قَالَ : ثنا أَبُو بَكْرِ بْنُ عَيَّاشٍ ، عَنْ حُصَيْنٍ ، عَنْ مُجَاهِدٍ قَالَ : صَلَّيْت خَلْفَ ابْنِ عُمَرَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُمَا فَلَمْ يَكُنْ يَرْفَعُ يَدَيْهِ إلَّا فِي التَّكْبِيرَةِ الْأُولَى مِنْ الصَّلَاةِ .

 SANAD: Ibne Abi Dawood »»► Ahmad bin Yunus »»► Abu Bakar bin Ayaash »»► Hussain »»► Mujahid (rahmatullahi alaihim)

Mujahid (Rah.) Farmate Hain Ke, "Maine Hazrat Abdullah Bin Umar (Raz.) Ke Peeche Namaz Parhi, Aap Ne Is Me Kahi'n Bhi Rafaul-Yadain Nahi Kiya Sivaaye Takbeer Aulaa (Tehreemah) Ke, Namaz Me." [Sharah Ma’aaniul Asaar : 163/1 , Musannaf Ibn Abi Shaiba : 417/2 , Hadees 2467] Is Riwaayat Ke Tamaam Raavi Bukhari Shareef Ke Raavi Hai.

Is Hadees Darz e Zeel Muhaddiseen ne Saheeh Kaha Hai.

  1. Alama Aini Rh. [Umdatul Qari 3/8]
  2. Alama Ibn Turkamani Rh. [Jawahar An-Naqi 2/74]
  3. Alama Naimwi Rh. [Aasaar As-Sunan 1/108]
  4. Alama Zafer Ahmed Usmani Rh. [Elaa e Sunan : 51/3]

Aur Isi Tarah Yeh Riwayat Hazrat Mujahid Rh. ke Alawa Hazrat Ibn Umar Rdh. Ke Shaagird Hazrat Abdul Aziz Bin Hakeem se Manqool Hai.

Wo Riwayat Karte Hai ke Maine Hazrat Abdullah Bin Omer Rdh. Ko Dekha ke Takbeer e Tehrima ke Waqt Kaano Tak Haat Utaate The aur Uske Siwa Haat Nahi Utaate The.(Muwatta Imam Muhammed : 93 , Al Hujjah Ala Ahlul Madinah : 97/1)

Yeh Riwayat Muhaddiseen ke Usoolke Mutabiq Hasan Darje ki Hai.

In Saheeh Riwayato se Maloom Huwa ke Ibn Umar Rdh. Tark e Rafedain ke Qaayal The. Aur Jab Raavi ka Amal AHadees ke Khilaaf Ho Toh Wo Hadees Mansooq Maani Jaati hai.

Isliye Rafedain Mansooq Hogaya Tha.

Tabhi Toh Hazrat Abdullah Bin Umar (Raz.) Bayaan Farmaate  Hai Ke Maine Rasool Ullah Saw Ko Dekha Ke Jab Aap Saw Ne Namaz Shuru Farmaayi Toh Haato Ko Kaandho Tak Utaaya Aur Ruku Me Jaate Waqt Aur Ruku Se Uthte Waqt Aap Saw Ne Haat Nahi Utaaye Aur Dono Sajdo Ke Darmiyaan Bhi Haat Nahi Utaaye.  [Musnad Al-Humaydi 277/2 , Hadees 614 , Musnad Abu Awwaana : 334/1].

Aur Ek Riwayat Me Hazrat Abdullah Bin Umar (Raz.) Se Rivayat Hai Ke, “Nabi (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) Sirf Namaz Ke Shuroo’ Me Rafaul-Yadain Farmate The, Iske Ba’d Dobarah Hath Nahi Uthaate The.” [Al-Khilaaqyaat Lil Bayhaqi V1/P404, Bawala Nasb Ur Riwaya 479/1]

Muhaddis-E-Haram Sheikh Aabid Sindhi (Rah.) Farmate Hain Ke, “Mere Nazdeek Ye Hadees Yaqeeni Taur Per Saheeh Hai.” [Ba-Hawalah Mu’arif As-Sunan 494/2].

Aaqeer me Hazrat Abdullah Bin Omer Rdh. Ka Rafedain ke Mutalliq Wazeh Qaul Mulaaheza Farmaaye :

Hazrat Abdullah Bin Omer Rdh. Farmaate Hai ke Hum Sahaba Rdh. Makkah Mukkaramah me Aap SAW ke Saat Shuru Namaz me Namaz ke Andar Ruku ke Waqt Rafedain Kiya Karte The , Pas Jab Nabi e Karim SAW ne Madina Munawwara ki Taraf Hijrat Farmaayi Toh Namaz ke Andar Ruku Wala Rafedain Tark Farmaadiya aur Sirf Shuru Namaz Wala Rafedain par Saabit Qadam Rahe. (Akhbaar ul Fuqaha Wal Muhaddiseen : 213).

Is Wazeh Qaul se Saabit Hogaya Hai ke Rafedain Mansooq Hai.

Dusri Hadees:

Malik Bin Huwairas Rdh. Se Marwi Hai.

Is Hadees me Bhi Isteraab Hai Kyunke

Lekin Nisaai Jild 1 Safa 128 , 123 par Hazrat Malik Bin Huwairas Hi Farmaate hai ke Nabi e Karim SAW Rafedain Karte The Sajdo me Jaate Waqt aur Sajdo se Sar Utaate Waqt ).

Isi Tarah Ek aur Hadees me Hazrat Malik Bin Huwairas Farmaate hai ke Maine Nabi e Karim SAW ko Dekha ke (Sirf Ibtedaa e Namaz me) Rafedain Karte Yaha Tak ke Haato Kaano ke Baraabar Leejaate. (Musannaf Ibn Abi Shaiba : Jild 1 : Safa 264).

Is Hadees me Isteraab Maujuud Hai Toh Isse Istedlaal Kaise Durust Hosakta hai ?

Tark E Rafedain ke Dalail :

Hazrat Abdullah Bin Mas’ood (Raziallahu Anhu) Ne Apnie Shaagirdo Se Farmaya: “Kya Main Tumhein Us Tarah Namaz Padhkar Na Dikhaao , Jis Tarah Rasoolullah (Sallallahu Alaihi Wa Sallam)  Namaz Padha Karte The ,  Phir Hazrat Ibn Masood Rdh. Ne Namaz Parhi Aur Takbeer E Tehreema Ke Alawa Dobara Haat Nahi Utaaye.” (Tirmizi : 59 /1 , Hadees : 252, Abu Dawud 748 , Nisaai : 1060 ). Yeh Hadees Bilkul Saheeh Hai Aur Bukhari Wa Muslim Ke Qaabil E Aitemaad Raawiyo Se Saabit Hai.

Imam Tirmizi (Rah.) Ne Is Hadees Ko Hasan Aur Kai Muhaddiseen Ne Usko Saheeh Qaraar Diyaa Hai.(Tafseel Ke Liye Dekhiye : Masnoon E Namaz Safa 59 , Majmua Rasail O Maqalaat Jild 2)

 

Mashoor Ghair-Muqallideen Aalim Naseeruddin Albani Sahab Saaf Iqraar Karte Hai Ke : ” Haqq Ye Hai Ke Ye Hadis Saheeh Hai Aur Iski Sanad Muslim Ki Shart Per Saheeh Hai Aur Jo Log Usko Hadees Kehte Hai Unki Baat Ki Koi Daleel Nahi Hai .[Mishkaat Ba-Tehqeeq Albani V1/P254].

Yeh Jaan Le ke Sirf Yahi Ek Sahabi Hazrat Abdullah BinMasood Rdh. Hai Jinse Sirf Tark e Rafedain Saabit. Rafedain karne Koi Hadees Hazrat Abdullah Bin Masood Rdh. Se Nahi Hai.

Jitni Bhi Hai Sab Tark e Rafedain ki Hai.

Yahi Wajah hai ke Ulama e Ahnaaf ne Hazrat Abdullah Bin Masood Radhi Allahu Anhu ki Is Hadees ko Liya.

 

Read 4224 times

DARULIFTA

Visit: DARUL IFTA

Islahun Nisa

Visit: Islahun Nisa

Latest Items

Contact us

Markaz Ahlus Sunnah Wal Jama'h, 87 SB, Lahore Road, Sargodha.

  • Cell: +(92) 
You are here: Home Articles in Roman Urdu Rafa Yadain

By: Cogent Devs - A Design & Development Company