Print this page

Maujuda Daur ke Ghair Muqallideen(Naam Nihaad Jamiat e Ahle Hadees)ke Haqiqi Ahle Hadees aur Salafi na Hone ke 12 Dalail

Rate this item
(30 votes)

 

 

 

Hamara Maslak : Ahle Sunnat Wal Jamaat
Hamari Dawat
: Itteba Kitab Wa Sunnat Bar Tariqa e Aslaaf E Ummat.
Hamara Nara :
Ittehaad Ummat.
Hamari Koshish :
Ahya e Tauhid Wa Sunnat Aur Khatma Shirk Wa Bidat.
Hamara Maqsad :
Isha-at Maarofaat Wa Izaala-E-Munkiraat.
Minjaanib :
Majlis Tahaffuz Sunnat Wa Difa E Sahaba Radiallah Tal'a Anhum Andhra Pardesh.

Note :

Is Istehaar Ka Mukammal Ihtaram Farmaye Niche Girne Se Aur Kisi Bhi Beahterami Se Bachaye. Is Me Ayat Quraaniya Aur Ahadees Mubaraka Tehreer Hai Isko Padhye Aur Chap Kar Dusro Tak Puhucha Kar Sawab Daarain Hasil Kijiye.

Mohtaram Baradaraane Islaam ! Islaami Tareekh Ki Kitabe Is Baat Par Gawah Hai Ke Sahaba E Ikraam Rdh. Ke Mubarak Daur Se 1200 Sadi Tak Tamaam Ahle Sunnat Wal Jamaat Musalmaan Ittehaad Wa Ittefaaq Ke Saat Quraan , Hadees Aur Fiqa E Islaami Par Poore Itmenaan Ke Saat Amal Kiya Karte The.Apas Me Kai Fiqhi Masail Me Iktelaaf Ke Bawajuud Ek Dusre Ko Gumrah Nahi Kehte The.

Phir Hindustaan Par Angrezo Ki Hukumat Ke Zamane Me 2 Firqe Ummat Me Paida Huve , Ek Firqa Hadees E Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Muqalif Wa Munkir Aur Aimma Hadees Hazrat Imam e Azam Abu Hanifa Rh. , Imam Malik Rh. , Imam Shafii Rh. , Imam Ahmed Bin Hambal Rh. , Imam Bukhari Wa Imam Muslim Rh. Wa Waghaira Muhaddiseen Ka Dushmann Hai Inhone Ne Apna Naam Ahle Quraan Rakh Liya Aur Hadees E Sharif Ke Khilaaf Propaganda Karke Is Me Galat Shukook Wa Shubaat Paida Karke Musalmaano Ko Raah E Hidayat Se Gumraah Kardiya.

Aur Dusra Firqa Fiqh E Hanafi Ka Muqaalif Aur Imam Abu hanifa Rh. , Imam Muhammed Rh. Wa Gaira Mujtahideen Wa Fuqaha Ikraam Rh. Ka Dushmann Wa Ghustaaq Hai , Inhone Apna Naam Ahle Hadees Rakh Liya Aur Fiqa Ke Khilaaf Jhoota Propaganda Karke Musalmaano Me Inhaishaar Paida Kiya.

Maujuda Jamaat Ahle Hadees Ke Afraad Bade Zabardast Andaaz Me Seena Phailaakar Yeh Dawa Karte Hai Ke Wo Log Wahi Ahle Hadees Hai Jinka Taskirah Hadees Wa Fiqa Aur Tareeqh Ki Kitabo Me Aata Hai.

Phir Yeh Hazraat Kitabo Me Jaha Bhi Ahle Hadees Ka Lafz Dekhte Hai Toh Bach Kaana Khush Fehmi Me Muptela Hokar Be-Qudi Me Kehne Lagte Hai Ke Isse Hamari Maujuda Ahle Hadees Jamaat Hi Muraad Hai.Lekin Haqiqat Ki Nigah Se Dekha Jaye Toh Maloom Hota Hai Ke Maujuda Ghair Muqallideen Hindustaani Ahle Hadees Bilkul Naya Firqa Hai , Jinka Un Puraane Aur Haqiqi Ahle Hadees Hazraat Se Haqiqatan Koi Taalluq Nahi Hai. Aur Yeh Ghair Muqallideen Apna Naam Ahle Hadees Rakh Kar Jamaatul Muslimeen Walo Ki Tarah Kam Ilm Musalmaano Ko Sirf Dhokha De Rahe Hai .Uske Kai Dalail Hai Jin Me Se Chand Yeh Hai.

  1. Ek Ghair Muqallid Aalim Abdullah Damanvi Sahaab Likhte Hai : Muhaddiseen Ki Jamaat Ko Ahle Hadees Kaha Jaata Hai, jis Tarah Muffasireen Ki Jamaat Ko Ahle Tafseer Aur Mu-Arriqeen Ki Jamaat Ko Ahle Taariq Kaha Jaata Hai ( Al Firqa Ul Jadeed Safa: 9) Kya Maujuda Ghair Muqallideen Ahle Hadees Jamaat Ka Har Fardh Muhaddis Hai ? Har Ghiz Nahi ! Toh Phir Maujuda Ghair Muqallideen Ko Ahle Hadees Kaise Kaha Jaasakta Hai ?
  2. Pehle Daur Me Ahle Hadees  Un Logo Ko Kaha Jaata Tha Jo Hadees Ki Jaach Parak Rakhte The Aur Uske Saheeh Aur Zaeef Hone Ka Faisla Karte The. Jaise Ke ghair Muqallid Aalim Ishaaq Bhatti Sahaab , Alama Taftazaani Hanafi Rh. Ke Hawala Se Likhte Hai “ Is Hadees Ki Sehat Me Aksar Ahle Hadees Ne Nukta Cheeni Ki Hai “ ( Barre Sagheer Me Ahle Hadees Ki Aamad: Safa  146) Aur Kisi Hadees Par Nuqta Cheeni Karna Kin Logo Ka Kaam Hai Usko Bayaan Karte Huve Dusre Ghair Muqallid Aalim Professor Ishfaaq Zafar Lodhi Sahaab Tehreer Karte Hai : Aur Yeh Kaam ( Hadees Ke Saheeh Ya Zaeef Darje Ko Mutabeen Karna Uski Sanad Wagaira Par Kalaam Karna ) Sirf Aur Sirf Hadees Ka Maahir Yaani Muhaddis Hi Karsakta Hai ( Maqaam E Hadees Aur Asli Ahle Sunnat Safa No: 223 ) Kya Maujuda Ghair Muqallid Ahle Hadees Jamaat Ka Har Shaks Doctor Wa Engineer Ho Ya Anpad Aur Angota Chaap , Ilm Hadees Ka Maahir Ban Chuka Hai Ke Apne Aap Ko Ahle Hadees Kahe ? Jab Ke Aaj Ke Ghair Muqallideen Ahle Hadees Hazraat Ko Toh Saheeh Aur Zaeef Hadees Ki Taarif Tak Nahi Maloom Hai.Toh Phir Wo Apne Aap Ko Kis Muh Se Ahle Hadees Kehte Hai ?
  3. Alama Khateem E Baghdadi Rh. Ahle Hadees Ka Taaruf Kaaraate Huve Farmate Hai : Ashaab Al Hadees (Ahle Hadees) Ko Allah Ne Irkaan e  Shariyat Qaraar Diya Hai. Unka Har Aalim Faqii Hota Hai Aur Imamat Ke Buland Martabe Par Faeez Hota Hai , Wo Apne Qabile Ka Zaayed Aur Fazilat Me Mumtaaz Hota Hai Wo Be-Misaal Qaari Aur Unda Khateeb Hota Hai.Unka Imtiyaaz Yeh Hai Ke Inhone Asaar Wa Ahadees Ki Hifazat Ki Aur Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Ahadees Ko Jama Karne Ki Khaatir Sehraa Aur Samandar Ka Pur Mashaqqat Safar Ikhtiyaar Kiya. Rai Aur Khuwaahishaat E Nafs Ki Pairwi Nahi Ki.Isi Hammad Bin Zayed Rh. Un Logo Ko Ahle Hadees Qaraar Dete Hai Jo Ilm Wa Fiqa Ki Talaash Wa Justaju Me Safar Kare.( Sharf Ul Ashaab Ul Hadees Mutarjam Safa No: 67-68).

Kya Maujuda Jamaat Ghair Muqallideen Ahle Hadees Ka Har Fard Aalim , Faqii , Zaayed , Be-Misaal Qaari Aur Unda Khateeb Hai ? Kya Inhone Ahadees Ko Jamaa Karne Ki Khatir Zindagi Me Kabhi Safar Kiya ? Maujuda Ahle Hadees Hazraat Toh Ilm Wa Fiqa Ki Talaash Ki Bajai Aalimo Ko Gumrah Aur Fiqa Ko Gande Masail Ka Majmua Aur Kook Shaastar Kehrahe Hai Aur Ulama Wa Fuqaha Se Puri Ummat Ko Dur Karne Ki Koshish Kar Rahe Hai. Kya Is Zabardast Farq Ke Bawajuud Haqiqi Ahle Hadees Hosakte Hai ?

  1. Alama Muhammed Bin Ibrahim Yemeni Rh. Likhte Hai : Ahle Hadees Un Logo Ka Naam Hai Jinhone Ilm E Hadees Ki Taraf Mukammil Tawajjo Ki , Usko Hasil Karne Ke Liye Dunya Se Yaksui Hogaye.Agar Unpar Raat Chaati Hai Tab Bhi Yeh Log Hadeese Likhte Hai Aur Jab Subah Hoti Hai Toh Wo Ahadees Rasool Sallallahu  Alaihi Wasallam Sunne Ke Liye Nikal Khade Hote Hai.Yahi(Hadees e Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Liye Dunya Chorne Wale Khush Naseeb ) Ahle Hadees Hai.Chahe Wo Kisi Bhi Maslak Ke Ho( Al Rooz Al Baasim 122/1 ) Kya Aaj Ke Ghair Muqallid Ahle Hadees Jamaat Ke Andar Yeh Alamat Paai Jaati Hai ? Zara Thande Dil Se Soche !!! Phir Kis Daleel Se Wo Apne Aap Ko Ahle Hadees Kehte Hai ? Aur Haqiqi Puraane Ahle Hadeeso Ne Apne Gehre Ilm Ki Bunyaad Par Apne Liye Jorah Amal “Ijtehaad” Ki Ikhtiyaar Ki Thi Wo Aaj Ke juhalaa Ke Liye Kaise Tajweez Karte Hai ? Neez Ek Hi Maslak Walo Ko Ahle Hadees Kehna Kis Se Saabit Hai ?
  2. Maujuda Ghair Muqallid Ahle Hadees Apne Aap Ko Pehle Muhammedi Kehte The Aur aam Log Unko Wahabi Kehte The.Phir Inhone Anghrez Government Me Darqaast Pesh Karke Apne Liye Ahle Hadees Ka Laqab A Lot Karaya( Tafseel Ke Liye Dekhe : Firqa Ahle Hadees Paak Wa Hind Ka Tehqiqi Jayeza Safa 77- 111). Agar Maujuda Ghair Muqallideen Wahi Ahle Hadees Hote Jinko Tamaam Musalmaan Shuru Hi Se Ahle Hadees Maante Chale Aarahe Hai Toh In Ko Naya Naam Wahabi Se Kyun Pukaarte Aur ghair Muqallideen Ko Anghrez Se Ahle Hadees Ka Laqab Alot Karaane Ki Zarurat Kyun Pesh Aayi ?
  3. Taqleed Sahaba Ikraam Rdh. Ke Mubarak Daur Se Aaj Tak Maujuud Hai.Ahnaaf Wa Fiqh E Hanafi , Imam Abu Hanifa Rh. Ki Wafaat ( 150 Hijri ) Se Aaj Tak Maujuud Hai.Ahle Hadees Kehlaaye Jaane Wale Muhaddiseen Bhi Ek Zamane Tak Rahe Hai.Isi Tarah Ahle Hadees Ke Laqab Se Yaad Kiye jaane Wale Shafii Aur Hambali Muqallideen Bhi Har Daur Me Rahe Hai.Lekin Hindustaan Me Anghrezo Ki Aamad Se Pehle Imam Abu Hanifa Rh. Ahnaaf Aur Fiqh E Hanafi Ya Taqleed Ke Khilaaf Koi Risala Nahi Likha Gaya Na Fiqh E Hanafi Se Logo Ko Rokhne Ki Koi Mamuli Si Koshish Ki Gayi.Maujuda Jamaat Ghair Muqallideen Ne Ahnaaf Aur Fiqh E Hanafi Ke Khilaaf Jhoot , Bohtaan Aur Nafrat Se Bhara Huva Jitna Litreture In 150 Saalo Me Taiyaar Kiya Uska  1000 Wa Hissa Bhi Pehli  1200 Sadi Me Kahi Aur Kabhi Nahi Likha Gaya. 

Tairvi Sadi Tak Na Hanafiyo Ne Apne Ahle Hadees Buzurgo Ke Khilaaf Kuch Likha , Na Ahle Hadees Ne Apne Buzurg Aur Sataiza Ahnaaf Ya Muqallideen Ko Kabhi Gumrah Qaraar Diya.Is Na Qabil E Inkaar Haqiqat Ke Hote Huve Phir Maujuda Ghair Muqallideen Ahle Hadees Fiqa Aur Fuqaha , Taqleed Aur Ahnaaf Ke Khilaaf Apni Nafrat  Se Bharpoor Kitabo Ke Saat Kis Tarah Apne Aap Ko Puraane Haqiqi Ahle Hadeeso Se Jhor Sakte Hai ?

  1. Taareqh Ki Kitabo Me Aslaaf Ke Saat Imam Ahle Hadees Ka Laqab Toh Milta Hai Lekin Kisi Ke Saat Salafi Aur Asrii Ke Alfaaz Nahi Milte Jabke Maujuda Ghair Muqallideen Ahle Hadees , Salafi Aur Asrii Bhi Hai Toh Yeh Hazraat Kis Tarah Sach-Che Ahle Hadees Hai ?
  2. Jamaat E Ghair Muqallideen Ke ek Bade Aalim Ibrahim Sialkoti Sahaab Tehreer Karte Hai : “ Hazrat Imam Sahaab(Abu Hanifa Rh. ) Ahle Sunnat Aur Ahle Hadees Ke Peshwa The. Alama Ibn Khaldoon Rh. Likhte Hai : Ahle Sunnat Ahle Hijaaz Hai Jinke Imam Imam Maalik Rh. Aur Imam Shafii Rh. Hai. (Muqaddama Ibn Khaldoon Safa No: 413 ) In Teeno Ahle Hadees Imamo Ka Maslak Sadiyo Se Saari Ummat Me Mashoor Aur Maqbool Hai.Lekin Maujuda Ghair Muqallideen Hindustaani Ahle Hadees Imam Abu Hanifa Rh. Ke Maslak Se Bhi Baaqi Hai Aur Imam Malik Rh. Wa Imam Shafii Rh. Ko Bhi Apna Imam Nahi Maante Hai , Toh Phir Wo Haqiqi Ahle Hadees Kaha Rahe ?
  3. Kitabo Me Jitne Logo Ko Ahle Hadees Kaha Jaata Hai Wo Sab Apne Zamane Ke Azeem Ulama Aur Fan E Hadees Ke Maahireen Me Se The.Uske Bawajuud Unme Se Be-Shumaar Muhaddiseen Kisi Na Kisi Imam Ke Muqallid The.Unme Koi Ek Bhi Aisa Na Tha Jo Quraan Wa Hadees Ke Uloom Se Nawaqif , Arabi Zubaan Se Na Aashna Deeni Uloom Se Bilkul Jaahil Ho Phir Bhi Ghair Muqallid , Mujtahid Bana Baitha Ho.Phir Maujuda Daur Ke Ghair Muqallideen , Jinki 99 Fisad Tadaad Deeni Uloom Ki Alif Baa Se Bhi Na Waqif Hai , Kaise Ahle Hadees Hosakti Hai ? Kya Jaahil Hone Ke Bawajuud Apni Aqal Se Quran Wa Hadees Par Amal karne waale Ka Naam Ahle Hadees aur salafi Hai ? Aise Ahle Hadees Toh Anghrez Ke Daur Se Pehle Bila Shak Wa Shuba Kisi Daur Me Nahi Rahe.

10 . Ahnaaf Wa Shawafe Wagaira Tamaam Muqallideen Ke Nazdik Shariyat Ke Usool 4 Hai.

1,Quraan E Majeed.

  1. Sunnat E Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam.
  2. Ijma.
  3. Qiyaas E Mujtahid.

Maujuda Daur Ke Ghair Muqallideen Ahle Hadees Hazraat  Bhi Lambi Muqaalifat Ke Baad Aaj Kal In Cheezo Ko Maanne Par Majboor Horahe Hai.Unke Nazdeek Bhi Shariyat Ke Usool Yeh Hai:

  1. Quran 2.Sunnat 3. Ijma 4.Aqwal E Sahaba Rdh. 5.Qiyaas 6.Istahsaan 7.Istahsaab 8.Musaale Mursala 9.Sad Zarai 10.Arf 11.Pehle Shariyato Ke Ahkaam (Salafiyat Hi Jamaat E Haq Safa No:34 )

Quran Wa Hadees Ke Alawa Be-Ghair Kisi Daleel Ke Itni Saari Cheezo Ko Maanne Ke Bawajuud Maujuda Ghair Muqallideen Ahle Hadees Reh Sakte Hai ? Agar Reh Sakte Hai Toh Phir Ahnaaf , Quran Wa Hadees Ko Maanne Aur Ikhtelaafi Masail Me Saheeh Ahadees Ke Dalail Rakhne Ke Bawajudd Phir Bhi Ahle Hadees Nahi Balke Muqalif E Hadees Ho !!! Yeh Kiya Ajooba Aur Muzhaake Kheez Tamaasha Nahi ?

  1. Pehle Zamane Ke Ahle Hadees Abdaal Wa Qutub Hote The.Jaise Ke Imam Ahmed Bin Hambal Ka Irshaad Hai Ahle Hadees Ke Alawa Aur Kaun Abdaal Hosakta Hai (Sharf Ashaab Al Hadees)Lekin Aaj Ke ghair Muqallideen Hindustaani Ahle Hadees Hazraat , Abdaal Wa Qutub Ka Shiddat Se Inkaar Karte Hai.Toh In Ghair Muqallideen Ka Haqiqi Ahle Hadeeso(Abdaal Wa Qutub) Se Koi Taalluq Nahi Hosakta ? Harghiz Nahi.
  2. Shaik Ul Islaam Sanaullahamritsari Sahaab Apne Akhbaar Ahlehadees Amritsar Me 20 Octobar 1933 Ke Shumaar Me Likhte : Baraadaraan E Islam !Jamaat(Ahle Hadees) Ke Aksar Afraad Jaante Hai Ke Maulana Ahmed Sahaab Dehelwi 7 , 8 Saal Se Madina E Tayyiba Me Muqeem Hai , Jab Waha Pahuche Toh Us Muqaddas Shaher Ke Rehne Waalo Me Kisi Ko Ahle Hadees Na Paaya , Na Is Jamaat Ka Koi Madarsa Hai Na Raabt .......Na Is Jamaat Ka Waha Taskiraah Hai Na Naam Wa Nishaan......Yeh Halat Dekh Kar Dilpar Saqt Chot Lagi Aur Afsoos Huwa Ke Yeh Markaz E Islaam.........Waha Koi Ahle Hadees Ka Naamlewa Aur Mazhab E Ahle Hadees Ka Muballigh Na Ho. (Majmua E Rasail: 89/1).

Is Ibaarat Se Saaf Zaahir Huwa Ke Firqa E Ghair Muqallideen Ahle Hadees Ka Koi Talluq Na Salafiyat Se Hai Aur Na Makkah Aur Madine Jaise Muqaddas Shahero Se Hai. Yeh Fitna Ko Toh Angrez Ke Daur Me Islaam Me Ikhtelaafaat Paida Karne Ke Liye Wajood Me Laaya Gaya Hai.

Agar Maujuda Ghair Muqallideen Hazraat Ka yeh Dawa Hai Ke Wo Chaaro Imaamo Ka Ahteraam Karte Hai Aur Unse Muhabbat Rakhte Hai Toh Phir Sirf Imam Abu Hanifa Rh. Ki Zaat  Giraami Aur Sirf Aap Hi Ke Maslak Ko Nashaana  E Tanqeed Kyun Bana Rahe Hai ? Ummat E Muslima Ko Shirk Wa Biddat , Fisq Wa Fajoor , Behayaai Wa E’eyaaniyat Se Rookne Ke Bajaai Fiqa E Hanafi Ki Muqaalifat Aur Usi Ko Badnaam Karne Ke Liye Puraa Zoor Shoor Kyun Kar Rahe Hai ? Imam E Azam Abu Hanifa Rh. Aur Fiqh E Hanafi Ke Khilaaf Jhoot Wa Fareeb ,Kazb Wa Dajjal Aur Khiyaanat Se Bharpoor Kitaabo Ko Ghair Muqalliden Ke Kutub Khaane Kyun Chaap Rahe Hai ??

 

Read 9181 times