Print this page

Sirf Takbeer e Tahrima ke Waqt Rafedain Ahadees Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Rooshni me

Rate this item
(181 votes)

 

Hamara Maslak : Ahle Sunnat Wal Jamaat

Hamari Dawat : Itteba Kitab Wa Sunnat Bar Tariqa e Aslaaf E Ummat.
Hamara Nara :
Ittehaad Ummat.
Hamari Koshish :
Ahya e Tauhid Wa Sunnat Aur Khatma Shirk Wa Bidat.
Hamara Maqsad :
Isha-at Maarofaat Waazaala-E-Munkiraat.
Minjaanib :
Majlis Tahaffuz Sunnat Wa Difa E Sahaba Radiallah Tal'a Anhum Andhra Pardesh.

Note :

Is Istehaar Ka Mukammal Ihtaram Farmaye Niche Girne Se Aur Kisi Bhi Beahterami Se Bachaye. Is Me Ayat Quraaniya Aur Ahadees Mubaraka Tehreer Hai Isko Padhye Aur Chap Kar Dusro Tak Puhucha Kar Sawab Daarain Hasil Kijiye.

Bismillahir Rahmaan nir Raheem

Mohtaram Baraadraan-E-Islaam.! Namaz Allah Ta’la Ki Mehboob Tareen Ibadat Hai Aur Iske Baare Me Khatim Al-Anbiya (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) Ki Taakeed Hai Ke “Namaz Waisi Parho Jaisi Mujhko Padhte Huwe Dekhte Ho.” [Sahih Bukhari]

Aap (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) Ke Is Irshaad-E-Giraami Per Sab Se Zyadah Amal Karne Waale Sahaba-E-Ikraam (Raziallahu Anhum) Hai. Hadees Ki Kitabo’n Me Saheeh Sanado’n (Chain) Se Ba’z Sahaba-E-Kiraam (Raz.) Se Namaz Ki Ibteda Me Sirf Takbeer-E-Tehreemah Ke Waqt Rafaul-Yadain (Dono Hatho’n Ko Uthaana) Saabit Hai Aur Ba’z Sahaba-E-Kiraam (Raz.) Se Rukoo’ Me Jaate Waqt Aur Uthte Waqt Aur Ba’z Sahaba (Raz.) Se Sajdo’n Me Jaate Aur Uthte Waqt Bhi Haat Utaana Sabit Hai.

Fuqaaha-Wa-Mujtahideen (Rahmatullahi Alaihim) Ne In Tamam Rivaayaat Me Tehqeeq Ki Aur Tehqeeq Wa Tafteesh Ke Ba’d Jis Imam Wa Faqi Ko Jo Rivayat Zyadah Saheeh Nazar Aayi Unhone Usko Ikhtiyar Farmaya , Masalan : Hanafi Fuqaha Rah. Muhaddiseen Rah. Ke Nazdeek Sirf Takbeer-E-Tehreemah Ke Waqt Haat Utaana Chahiye Iske Ba’d Nahi. Is Tarah Har Faqeeh Wa Muhaddis Ne Apni Tehqeeq Ke Mutabiq Quraan Wa Hadees Par Amal Kiya Lekin Dusre Fuqaha Ko Bhi Ghalat Nahi Kaha.Lekin Maujuda Hindustani Ghair Muqallideen Ahle Hadees Ahbaab Ne (Jo Sirf Quran Aur Saheeh Hadees Par Amal Ka Da’wa Karte Hai) Aur Teesri Cheez Ka Inkaar Karte Rehte Hai.Namaz Ke Andar Ruku Me Jaate Aur Ut-Te Waqt Rafe-Dain Karne Ko Zaruri Qaraar Dete Huwe Ummat E Muslima Me Khatarnaak Inteshaar Paida Kardiyaa Hai. Is Masle Ko Jisme Sahaba Rdh. Ke Ikhtelaaf Chaala Aaraha Hai Wo Haq Wa Batil Ka Maiyaar Ban Chuke Hai.Rafedain Karne Waalo Hi Ko Ahle Hadees Aur Na Karne Waalo Ko Be-Namazi Aur Jahannumi Keh Rahe Hai.(Aur Is Silsile Me Kabhi Kazzaab Bayaani Se Bhi Kaam Lete Hai. Aur Kabhi Yeh Bachkaana Shoshaa Chor Dete Hai Ke Kya Huzoor E Akram Saw 4 4 Tariqe Se Namaz Padhte The ? Jabke Khud Ghair Muqallideen Bhi Kai Tariqo Se Namaz Padhte Hai ).Halaake Takbeer E Tehreema Ke Alawa Namaz Dusri Jagaho Par Haat Na Utaana Saheeh Ahadees , Sahaba Ikraam Rdh. Ke Amal Aur Muhaddiseen Wa Fuqaha Ikraam Rh. Ke Aqwal Ke Rooshni Me Sunnat E Rasool Saw Hai. Isi Se Mutaalliq Yaha Chand Riwaayaat E Naql Ki Jaa Rahi Hai.

Hadees 1: Hazrat Abdullah Bin Mas’ood (Raziallahu Anhu) Ne Apnie Shaagirdo Se Farmaya: “Kya Main Tumhein Us Tarah Namaz Padhkar Na Dikhaao , Jis Tarah Rasoolullah (Sallallahu Alaihi Wa Sallam)  Namaz Padha Karte The ,  Phir Hazrat Ibn Masood Rdh. Ne Namaz Parhi Aur Takbeer E Tehreema Ke Alawa Dobara Haat Nahi Utaaye.” (Tirmizi : 59 /1 , Hadees : 252, Abu Dawud 748 , Nisaai : 1060 ). Yeh Hadees Bilkul Saheeh Hai Aur Bukhari Wa Muslim Ke Qaabil E Aitemaad Raawiyo Se Saabit Hai.

Imam Tirmizi (Rah.) Ne Is Hadees Ko Hasan Aur Kai Muhaddiseen Ne Usko Saheeh Qaraar Diyaa Hai.(Tafseel Ke Liye Dekhiye : Masnoon E Namaz Safa 59 , Majmua Rasail O Maqalaat Jild 2)

Mashoor Ghair-Muqallideen Aalim Naseeruddin Albani Sahab Saaf Iqraar Karte Hai Ke : ” Haqq Ye Hai Ke Ye Hadis Saheeh Hai Aur Iski Sanad Muslim Ki Shart Per Saheeh Hai Aur Jo Log Usko Hadees Kehte Hai Unki Baat Ki Koi Daleel Nahi Hai .[Mishkaat Ba-Tehqeeq Albani V1/P254]

Hadees  2: Hazrat Abdullah Bin Umar (Raz.) Se Rivayat Hai Ke, “Nabi (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) Sirf Namaz Ke Shuroo’ Me Rafaul-Yadain Farmate The, Iske Ba’d Dobarah Hath Nahi Uthaate The.” [Al-Khilaaqyaat Lil Bayhaqi V1/P404, Bawala Nasb Ur Riwaya 479/1]

Muhaddis-E-Haram Sheikh Aabid Sindhi (Rah.) Farmate Hain Ke, “Mere Nazdeek Ye Hadees Yaqeeni Taur Per Saheeh Hai.” [Ba-Hawalah Mu’arif As-Sunan 494/2]

Haakim Rh. Ne Is Hadees Ko Bil Wajeh Mauju Kaha Hai.

Hadees 3: Hazrat Abdullah Bin Umar (Raz.) Bayaan Farmaate  Hai Ke Maine Rasool Ullah Saw Ko Dekha Ke Jab Aap Saw Ne Namaz Shuru Farmaayi Toh Haato Ko Kaandho Tak Utaaya Aur Ruku Me Jaate Waqt Aur Ruku Se Uthte Waqt Aap Saw Ne Haat Nahi Utaaye Aur Dono Sajdo Ke Darmiyaan Bhi Haat Nahi Utaaye.  [Musnad Al-Humaydi 277/2 , Hadees 614].

Hadees  4: Hazrat Ali (Raz.) Se Rivayat Hai Ke, “Nabi (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) Ibtidaay-E-Namaz Me( Takbeer E Tehrima Ke Waqt Hi ) Hath Uthaate The Phir Ba’d Me Nahi Uthaate The.” [Al-Illal Al-Waaridah Fi Ahadees An-Nabawiyah 4/106, Musnad E Imam Zayed Mutarjam Hadees 457 ] Is Hadees Ki Sanad Saheeh Hai.

Hadees  5: Hazrat Ibaad Bin Zubair (Rh.) Farmate Hain Ke, “Rasoolullah (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) Jab Namaz Shuroo Fatmaate Usi Waqt Haat Utaate The , Phir Namaz Khatam Hone Tak Rafe-Yadain Nahi Karte The.” [Al-Khilaafiyaat Lil Bayhaqi Bahawal Nasb Ur Riwaya 479/1 ].

Hafiz E Hadees Bukhari E Waqt Imam Anwar Shaah Kashmiri Rh. Farmaate Hai Ke Is Hadees Ki Sanad Mursal E Jayyid Hai.(Neel Al Farqideen , Bawala Majmua Rasail Wa Maqalaat Jild 2 ). Tabien Ki Mursal Riwaayat Jamhoor Ki Nazdeek Maqbool Hai.

Hadees 6: Hazrat Abdullah Bin Mas’ood (Raz.) Farmate Hain Ke, “Maine Nabi (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) Aur Hazrat Abu Bakar Wa Umar (Raz.) Ke Peeche Namaz Parhi, In Hazraat Ne Sirf Takbeer-E-Tehreemah Ke Waqt Rafaul-Yadain Kiya.” [Sunan Kubra Bayhaqi V2/P79]

Hafiz Ibn-E-Turkmani (Rah.) Ne Farmaya Ke, Is Rivayat Ki Sanad Jayyid Hai Ya’ni Hasan Hai. [Al Jawhiral Naqii Alaa Haashiya Lil Behaqii 113/2]

Hadees 7: Hazrat Aswad Taaba’ee (Rah.) Rivayat Karte Hain, “Maine Hazrat Umar Farooq (Raz.) Ke Peeche Namaz Parhi, Aap (Raz.) Ne Namaz Me Kisi Jagah Rafaul-Yadain Nahi Kiya  Magar Namaz Ke Shuroo’ Me.” [Musannaf Ibne Abi Shaibah Raqam# 2469, Sanad Saheeh]

Hadees 8: Hazrat Ali Rdh. Jab Namaz Shuru Farmaate Usi Waqt Rafedain Karte The Phir Do-Baara Rafedain Nahi Farmaate The.(Tahawi Shareef 132/1 , Musannaf Ibn Abi Shaiba : 416/2 , Hadees : 2457 , Muwatta Imam Muhammed 91-95). Alama Aaini Farmaate Hai Ke Yehriwayaat Imam Muslim Rh. Ki Shart Ke Mutaabiq Hai Bilkul Saheeh Hai.(Unda Tul Qaari Fii Sahrah Bukhaari : 400/5).

Hadees 9: Hazrat Abdullah Bin Masood Rdh. Namaz Ke Aaghaaz Ke Waqt Hi Haato Ko Uthaate The Phir Doobara Nahi Utaathe The.(Musannaf Ibn Abi Shaiba : 416/2 , Hadees: 2458) Is Riwayaat Ki Sanad Saheeh Hai.(Al Johar Al Naqii : 115/2).

Hadees 10: Mujahid (Rah.) Farmate Hain Ke, "Maine Hazrat Abdullah Bin Umar (Raz.) Ke Peeche Namaz Parhi, Aap Ne Is Me Kahi'n Bhi Rafaul-Yadain Nahi Kiya Sivaaye Takbeer Aulaa (Tehreemah) Ke, Namaz Me." [Tahawi Sahreef , Musannaf Ibn Abi Shaiba : 417/2 , Hadees 2467] Is Riwaayat Ke Tamaam Raavi Bukhari Shareef Ke Raavi Hai.

Hadees 11: Hazrat Abdullah Bin Mas’ood (Raz.) Aur Hazrat Ali (Raz.) Ke As’haab (Ya’ni Shagird) Shuroo’ Namaz Me Rafaul-Yadain Karte The Phir Dobarah Hath Nahi Uthaate The. [Musannaf Ibne Abi Shaibah 416/2 , Hadees : 2461] Yeh Riwayat Aala Darje Ki Saheeh Hai.(Al Johar Al Naqii : 115/2).

Hadees 12 : Muhammad Bin Nasar Al-Marwazi (Rah.) Farmaate Hain: “Hum Kisi Aise Shehar Ko Nahi Jaante Jiske Baashinday (Citizens) Puraane Zamaane Se Ahl-E-Ilm Me Shumaar Kiye Jaate Ho Aur Unhone Bil-Ittifaaq Namaz Me Jhukte Aur Uthte Waqt Rafaul-Yadain Ko Chhor Diya Ho Sivaaye Shehar Koofah Ke.” [At-Tamheed Li Ibne Abdul Barr 213/9]

Note: Koofah, Iraq Wo Azeem Shehar Hai Jaha’n Per 1500 Sahaba-E-Kiraam (Raz.) Aa Kar Aabaad Hue The. Jinme 24 Badri Aur 3 Ashrah Mubashharah Jaise Azeem Sahaba (Raz.) Shaamil The. Hazrat Ali (Raz.) Ne Koofah Ko Darul Hukoomat (Capital City) Banaya Tha. Koofah Ilm–E-Hadees Aur Fiqh Ka Be-Misaal Markaz Tha. Yehi Wajah Hai Ke [Sahih Bukhari] Ke Raaviyo’n (Narrators) Me Aksar Muhaddiseen Koofah Ke Hain.

Hadees 13: Ibn-E-Rushd (Rah.) Farmate Hain, “Imam Malik (Rah.) Ne Madeenah Walo’n Ke Amal Ke Muwafaq Hone Ki Wajah Se Rafaul-Yadain Na Karne Ki Hadees Ko Tarjeeh Di Hai.” [Bidayatul Mujtahid 193/1]

Hadees 14: Ibnul Qasim (Rah.) Ka Bayan Hai Ke, “Imam Malik (Rah.) Farmate Hain Ke Sirf Takbeer-E-Tehreemah Ke Waqt Hath Uthaaye Jaayei’n Iske Ba’d Na Uthaaye Jaayei’n. Imam Malik (Rah.) Namaz Me Takbeer-E-Tehreemah Ke Alawah Rafaul-Yadain Ko Za’eef Qaraar Dete The. Yehi Maslak Ahl-E-Koofah Ka Aur Sufyan Sauri (Rah.) Ka Hai.” [Al-Istizkaar 99/4]

Imam Tirmizi (Rah.) Ka Naa’ra-E-Haqq:

Bahut Saare Sahaba Ikraam Rdh. Aur Tabien Rh. Namaz Me Takbeer E Tehreema Ke Waqt Haat Utaate The Phir Dobaara Nahi Utaate The.Muhaddis Sufiyaan Suri Aur Ahle Kufa Ka Yahi Qaul Hai.(Tirmizi Shareef : Hadees : 782).

Allamah Ibn-E-Taymiyah (Rah.) Ka Fatwa:

“Namaz Parhne Wala Rafaul-Yadain Kare Ya Na Kare Is Se Namaz Me Koi Kharabi Nahi Aayegi Aur Na Namaz Baatil Hogi.” [Majmua’ Fatawa V22/P253]

Lekin Aaj Ke Ghair-Muqallideen, Ahl-E-Hadeeso’n Ke Nazdeek Rafaul-Yadain Hi Haqq Wa Baatil Ki Pehchan Ban Gaya Hai Aur Isko Namaz Ki Sihat Wa Qubooliyat Ki Shart Ban Chuka Hai.

Hum Poochte Hain Ke Humne Saheeh Isnaad Waali Itni Ahadees Paish Ki Hain, In Ahadees Ko Thukra Kar Chand Matlab Ki Ahadees Per Amal Karne Walo’n Ko Hi Ahl-E-Hadees Kehte Hain.? Aisa Hai To Phir Har Musalman Ahl-E-Hadees Hoga. Is Label Wala Makhsoosi Firqah Kyon Bana Rakha Hai.?

Ghair Muqallideen Ahle Hadees Bhaiyo ! Zara Apne Dil Per Hath Rakh Kar Sonchiye Ke Aaj Ke Nazuk Daur Me Musalmano Ko Aapasi Ittihad Wa Ittifaq Ki Sakht Zaroorat Hai. Aise Pur Khatar Daur Me In Froi Masaa’il Jin me Sahaba (Raz.) Ke Daur Se Iqtilaf Chala Aa Raha Hai Ko Uchhaal Kar Musalmano Ko Aapas Me Ladaana , Taqleed-E-A’immah , 20 Raka’t Taraweeh, Juma’h Ki 2 Azaanei’n Wagaira  Ijma’i Masaa’il Ki Mukhalifat Karna, Tamaam Muqallideen Ko Bid’ati Wa Mushrik Kehna , Bas Sirf  Ikhtilaafi Masaa’il Ko Hawa Dene Ke Liye aur Sadiyo se Ummat  e Muslima me Maqbool  Fiqh e Hanafi se musalmaano ko door karne ke liye Croro’ Wa Arbo’n Rupya Kharch Karna , salafiyat aur hadees ke naam par musalmaano ko apne salaaf se badghumaan karna deen e islaam ki kaunsi khidmat hai aur  Ummat e Muslima Ka Kya Faida hai ? Aur Kya Aisa Karne Waale Nadaani Me Yahood Wa Nasaara Aur Dushman-E-Islam Ki Sazisho’n Ka Shikar Nahi Ban Rahe Hain.? Kya Ghair-Muqallideen Ki Nigaaho’n Me Fiqh Hanafi Hi Sab Se Badi Gumrahi Hai.? Aap Ko Qadyaniyo’n Se, Shio’n Se, Munkareen-E-Hadees Se Itna Baer Nahi Jitna Hanafiyo’n Se Hai. Aisa Kyon.? 95% Kitabein Aap Ki To Ahnaf Ke Khilaf Hi Hoti Hain. Agar Ahadees Ki Kitabein Likhte Hain To Bhi Ahnaf Ke Maslak Ko Hi Nishanah Banaate Hain. Akhir Kya Baat Hai Ke Aap Qadyani, Shio’n, Munkareen-E-Hadees Ko Nishanah Kyon Nahi Banaate.?

Ghair-Muqallideen Zor-O-Shor Se Baland Baang Da’wa To Karte Hain Ke Sirf Saheeh Hadeeso’n Per Amal Karte Hain. Za’eef Hadeeso’n Ko Nahi Maante, Lekin Inki Koi Bhi Kitab Za’eef Ahadees Se Khaali Nahi. Ghair Muqalliden ki Mashoor Mashoor wa qadeem Kitaab Salaatur Rasool me 80 se Zyada Zaeef Hadeese Maujood hai aur Aaj Tak Puri Dunya me Mukammal Namaz Bhi Saheeh Hadeeso se Saabit nahi Karsake.  

Read 37664 times